Teree shokh nazar kaa ishaaraa meree veeraan raaton

तेरी शोख़ नज़र का इशारा मेरी वीरान रातों
Work
Year
Language

मु: तेरी शोख़ नज़र का इशारा
मेरी वीरान रातों का तारा -2
ल: तेरी बाँहों का जब है सहारा
पिया मझधार भी है किनारा -2
मु: तेरी शोख़ नज़र का …

निकले हैं राही मस्ती में डूबे
मंज़िल का क्‌या है मिले ना मिले
ल: तुम साथ हो तो क़िस्मत से अपनी
शिक़वे कहाँ के कहाँ के गिले
मु: ओ जी ओ तेरी शोख़ नज़र का …

ल: इक ख़्वाब सा है या है कहानी
कुछ है यक़ीं कुछ यक़ीं भी नहीं
मु: हम तो यह जानें सच है या सपना
जो तुम नहीं हो तो हम भी नहीं
ल: ओ जी ओ तेरी बाँहों का जब है …

mu: terī śhokh nazar kā iśhārā
merī vīrān rātoṅ kā tārā -2
la: terī bāṇhoṅ kā jab hai sahārā
piyā majhdhār bhī hai kinārā -2
mu: terī śhokh nazar kā …

nikle haiṅ rāhī mastī meṅ ḍūbe
maṅzil kā k‌yā hai mile nā mile
la: tum sāth ho to qismat se apnī
śhiqve kahāṇ ke kahāṇ ke gile
mu: o jī o terī śhokh nazar kā …

la: ik khvāb sā hai yā hai kahānī
kuchh hai yaqīṅ kuchh yaqīṅ bhī nahīṅ
mu: ham to yah jāneṅ sach hai yā sapnā
jo tum nahīṅ ho to ham bhī nahīṅ
la: o jī o terī bāṇhoṅ kā jab hai …