Teree raahon men khare hain dil thaam ke

तेरी राहों में खड़े हैं दिल थाम के
Work
Year
Language

तेरी राहों में खड़े हैं दिल थाम के
हाय हम हैं दीवाने तेरे नाम के
मेरी अँखियों के नूर मेरे दिल के सुरूर
चाहे रहो दूर-दूर तुम्हें पाना है ज़ुरूर
तेरी राहों में …

बादल बरसे दुनिया जाने
अँखियाँ बरसें कोई न जाने
दिल की लगी को दिल ही जाने
तेरी राहों में …

किस छलिया पे ये दिल आया
पत्थर से शीशा टकराया
न वो अपना न वो पराया
तेरी राहों में …

terī rāhoṅ meṅ khaṛe haiṅ dil thām ke
hāy ham haiṅ dīvāne tere nām ke
merī aṇkhiyoṅ ke nūr mere dil ke surūr
chāhe raho dūr-dūr tumheṅ pānā hai zurūr
terī rāhoṅ meṅ …

bādal barse duniyā jāne
aṇkhiyāṇ barseṅ koī na jāne
dil kī lagī ko dil hī jāne
terī rāhoṅ meṅ …

kis chhaliyā pe ye dil āyā
patthar se śhīśhā ṭakrāyā
na vo apnā na vo parāyā
terī rāhoṅ meṅ …