Teree khaatir jal rahen hain

तेरी ख़ातिर जल रहें हैं
Work
Year
Language

(तेरी ख़ातिर जल रहें हैं कब से परवाने
प्यार क्‌या है क्‌या बताएँ तुझ को दीवाने) -2

लाख तेरी बेरुख़ी हम पे सितम ढ़ाती रही
जिस क़दर तुझको भुलाया तेरी याद आती रही
हो गए तेरे लिये हम सब से बेगाने
प्यार क्‌या है क्‌या बताएँ तुझ को दीवाने
तेरी ख़ातिर जल रहें हैं …

दिल लुटाकर भी तेरी दुनिया में रह सकते नहीं -2
हम तेरे होके भी तुझको अपना कह सकते नहीं
दिल में रह जाएँगे यूँ ही दिल के अफ़साने
प्यार क्‌या है क्‌या बताएँ तुझ को दीवाने

तेरी ख़ातिर जल रहें हैं कब से परवाने
प्यार क्‌या है क्‌या बताएँ तुझ को दीवाने
तेरी ख़ातिर जल रहें हैं …

(terī khātir jal raheṅ haiṅ kab se parvāne
pyār k‌yā hai k‌yā batāeṇ tujh ko dīvāne) -2

lākh terī berukhī ham pe sitam ṛhātī rahī
jis qadar tujhko bhulāyā terī yād ātī rahī
ho gae tere liye ham sab se begāne
pyār k‌yā hai k‌yā batāeṇ tujh ko dīvāne
terī khātir jal raheṅ haiṅ …

dil luṭākar bhī terī duniyā meṅ rah sakte nahīṅ -2
ham tere hoke bhī tujhko apnā kah sakte nahīṅ
dil meṅ rah jāeṇge yūṇ hī dil ke afsāne
pyār k‌yā hai k‌yā batāeṇ tujh ko dīvāne

terī khātir jal raheṅ haiṅ kab se parvāne
pyār k‌yā hai k‌yā batāeṇ tujh ko dīvāne
terī khātir jal raheṅ haiṅ …