Teree jheel see gahree aankhon men

तेरी झील सी गहरी आँखों में
Year
Language

नि: तेरी झील सी गहरी आँखों में
कुछ देखा मैंने, क्‌या देखा

वा: मैं समझ गई रे दीवाने
तूने रात कोई सपना देखा

नि: साँसों में छिपी धड़कन के संग
जब प्यार ने ली थी अंगड़ाई
एक स्वर्ग परी छम-छम करती
बाँहों में मेरे आ शरमाई
मदमस्त जवानी का ?? -2
?? में छिपना देखा

वा: मैं समझ गई रे दीवाने
तूने रात कोई सपना देखा
नि: तेरी झील सी गहरी आँखों में

अमृत के सागर की श्रुति
मन्दिर के दीपक की ज्योति
अल्हड़ कमलों में छुपे हुये
हीरे नीलम माणिक मोती
तेरी उठती झुकती पलकों में -2
सूरज देखा चन्दा देखा

वा: मैं समझ गई रे दीवाने
तूने रात कोई सपना देखा
नि: तेरी झील सी गहरी आँखों में

ni: terī jhīl sī gahrī āṇkhoṅ meṅ
kuchh dekhā maiṅne, k‌yā dekhā

vā: maiṅ samajh gaī re dīvāne
tūne rāt koī sapnā dekhā

ni: sāṇsoṅ meṅ chhipī dhaṛkan ke saṅg
jab pyār ne lī thī aṅgaṛāī
ek svarg parī chham-chham kartī
bāṇhoṅ meṅ mere ā śharmāī
madamast javānī kā ?? -2
?? meṅ chhipnā dekhā

vā: maiṅ samajh gaī re dīvāne
tūne rāt koī sapnā dekhā
ni: terī jhīl sī gahrī āṇkhoṅ meṅ

amṛt ke sāgar kī śhruti
mandir ke dīpak kī jyoti
alhaṛ kamloṅ meṅ chhupe huye
hīre nīlam māṇik motī
terī uṭhtī jhuktī palkoṅ meṅ -2
sūraj dekhā chandā dekhā

vā: maiṅ samajh gaī re dīvāne
tūne rāt koī sapnā dekhā
ni: terī jhīl sī gahrī āṇkhoṅ meṅ