तेरी बिंदिया उड़ा के ... सो गया सारा ईन्दिअ
तेरी बिंदिया उड़ा के ले गई मेरी निंदिया
मैं जाग रहा हूँ सो गया सारा India
मेरी बिंदिया उड़ा के ले गई तेरी निंदिया
तू जाग रहा है सो गया सारा India
तेरी बिंदिया उड़ा के …
मेरी जान किसी की जान को जाते देखा है
मैं जान लुटा दूंगा तुझपे ये सोचा है
तू एक लुटेरा है दिल तूने लूटा है
मैं क्या जानूं तू सच्चा है कि झूठा है
तूने कर लिया काबू जादू मुझपे किया
मैं जाग रहा हूँ …
मैने जब से दिया है जान-ए-मन ये दिल तुझको
मुझे तेरी कसम है चैन नहीं इक पल मुझको
हालत मेरी भी कुछ कुछ तेरे जैसी है
बेचैन बड़ा करती है मुहब्बत कैसी है
अब क्या डरना जब प्यार किया तो किया
मैं जाग रहा हूँ …
terī biṅdiyā uṛā ke le gaī merī niṅdiyā
maiṅ jāg rahā hūṇ so gayā sārā India
merī biṅdiyā uṛā ke le gaī terī niṅdiyā
tū jāg rahā hai so gayā sārā India
terī biṅdiyā uṛā ke …
merī jān kisī kī jān ko jāte dekhā hai
maiṅ jān luṭā dūṅgā tujhpe ye sochā hai
tū ek luṭerā hai dil tūne lūṭā hai
maiṅ kyā jānūṅ tū sachchā hai ki jhūṭhā hai
tūne kar liyā kābū jādū mujhpe kiyā
maiṅ jāg rahā hūṇ …
maine jab se diyā hai jān-e-man ye dil tujhko
mujhe terī kasam hai chain nahīṅ ik pal mujhko
hālat merī bhī kuchh kuchh tere jaisī hai
bechain baṛā kartī hai muhabbat kaisī hai
ab kyā ḍarnā jab pyār kiyā to kiyā
maiṅ jāg rahā hūṇ …