Teree banjaaran raastaa dekhe ... kab aaegaa mere banjaare

तेरी बंजारन रास्ता देखे ... कब आएगा मेरे बन्जारे
Work
Year
Language

तेरी बंजारन रास्ता देखे
कब आएगा मेरे बन्जारे -2
ओ तू नहीं आया आ गए सारे
कब आएगा मेरे …

दूर बहुत था देश तेरा
पहुंचा नहीं संदेश मेरा
सपनों के राजा जल्दी से आ जा
देर न कर साजन प्यारे
कब आएगा मेरे …

ऐसा न हो कि तू न आए -2
डोली और कोई ले जाए -2
तड़प तड़प के तरस तरस के
मैं मर जाऊं ग़म के मारे
तेरी बंजारन रास्ता देखे …

सपनों में सपना तोड़ गया तू
आग सुलगती छोड़ गया तू
फूलों पे चलके लगता है ऐसे
पाँव के नीचे हैं अंगारे -2
कब आएगा मेरे …

terī baṅjāran rāstā dekhe
kab āegā mere banjāre -2
o tū nahīṅ āyā ā gae sāre
kab āegā mere …

dūr bahut thā deśh terā
pahuṅchā nahīṅ saṅdeśh merā
sapnoṅ ke rājā jaldī se ā jā
der na kar sājan pyāre
kab āegā mere …

aisā na ho ki tū na āe -2
ḍolī aur koī le jāe -2
taṛap taṛap ke taras taras ke
maiṅ mar jāūṅ ġham ke māre
terī baṅjāran rāstā dekhe …

sapnoṅ meṅ sapnā toṛ gayā tū
āg sulagtī chhoṛ gayā tū
phūloṅ pe chalke lagtā hai aise
pāṇv ke nīche haiṅ aṅgāre -2
kab āegā mere …