Teree aankhon men yah havas ... main botal naheen sharaab kee

तेरी आँखों में यह हवस ... मैं बोतल नहीं शराब की
Work
Year
Language

तेरी आँखों में यह हवस तेरे हाथों में ये जाम भी
अच्छा नहीं लगता है तेरे होंठों पे मेरा नाम भी

मैं बोतल नहीं शराब की जिसे खोल कर तू पी जाएगा

न खेल न कोई खिलौना हूँ न सेज न कोई बिछौना हूँ
मैं मिट्टी नहीं हूँ सोना हूँ
बाज़ार में तू बिक जायेगा मुझे खरीद न पायेगा
मैं बोतल नहीं …

मैं दौलत नहीं मोहब्बत हूँ मैं सारे गांव की इज़्ज़त हूँ
अपने सजन की अमानत हूँ
तू मुझको हाथ लगायेगा तो पत्थर का बन जाएगा
मैं बोतल नहीं …

terī āṇkhoṅ meṅ yah havas tere hāthoṅ meṅ ye jām bhī
achchhā nahīṅ lagtā hai tere hoṅṭhoṅ pe merā nām bhī

maiṅ botal nahīṅ śharāb kī jise khol kar tū pī jāegā

na khel na koī khilaunā hūṇ na sej na koī bichhaunā hūṇ
maiṅ miṭṭī nahīṅ hūṇ sonā hūṇ
bāzār meṅ tū bik jāyegā mujhe kharīd na pāyegā
maiṅ botal nahīṅ …

maiṅ daulat nahīṅ mohabbat hūṇ maiṅ sāre gāṅv kī izazat hūṇ
apne sajan kī amānat hūṇ
tū mujhko hāth lagāyegā to patthar kā ban jāegā
maiṅ botal nahīṅ …