तेरे प्यार ने ये क्या कर दिया बहकने लगा दीवाना दिल्
तेरे प्यार ने ये क्या कर दिया बहकने लगा दीवाना दिल
संभलता नहीं संभाले से भी सनम हो गई बड़ी मुश्किल
तेरे प्यार ने ये क्या …
वादी में जैसे हवा फूलों में खुश्बू रहे
ऐसे ही जान-ए-वफ़ा दिल में मेरे तू रहे
रंगी नज़ारे हुए आ मौसम सुनहरा दिखे आ
देखूं जहां तक वहां आ तेरा ही चेहरा दिखे
तेरे प्यार ने ये क्या …
दुल्हन लगे ये ज़मीं दूल्हा लगे आसमां
तू सामने जब रहे अच्छा लगे ये जहां
तेरी वफ़ा चाहिए आ इस ज़िंदगी के लिए आ
हर दर्द सह लूंगी मैं आ तेरी ख़ुशी के लिए
तेरे प्यार ने ये क्या …
तेरे प्यार ने ये क्या कर दिया बहकने लगा दीवाना दिल
संभलता नहीं संभाले से भी सनम हो गई बड़ी मुश्किल
तेरे प्यार ने ये क्या …
बेचैन करने लगे ख़्वाबों ख़्यालों के दिन
गुज़रे न अब एक पल साथी मेरे तेरे बिन
तूने मुझे दे दिया दीवानगी का सिला
चलता रहे उम्र भर चाहत का ये सिलसिला
तेरे प्यार ने ये क्या …
जी चाहे ऐसे तुझे भर लूं मैं आगोश में
मैं भूल जाऊं जहां तू ना रहे होश में
तुझको बनाके ख़ुदा तेरी इबादत करूं
भूले ना तुझको कभी इतनी मोहब्बत करूं
तेरे प्यार ने ये क्या …
tere pyār ne ye kyā kar diyā bahakne lagā dīvānā dil
saṅbhaltā nahīṅ saṅbhāle se bhī sanam ho gaī baṛī muśhkil
tere pyār ne ye kyā …
vādī meṅ jaise havā phūloṅ meṅ khuśhbū rahe
aise hī jān-e-vafā dil meṅ mere tū rahe
raṅgī nazāre hue ā mausam sunahrā dikhe ā
dekhūṅ jahāṅ tak vahāṅ ā terā hī chehrā dikhe
tere pyār ne ye kyā …
dulhan lage ye zamīṅ dūlhā lage āsmāṅ
tū sāmne jab rahe achchhā lage ye jahāṅ
terī vafā chāhie ā is ziṅdgī ke lie ā
har dard sah lūṅgī maiṅ ā terī khuśhī ke lie
tere pyār ne ye kyā …
tere pyār ne ye kyā kar diyā bahakne lagā dīvānā dil
saṅbhaltā nahīṅ saṅbhāle se bhī sanam ho gaī baṛī muśhkil
tere pyār ne ye kyā …
bechain karne lage khvāboṅ khyāloṅ ke din
guzre na ab ek pal sāthī mere tere bin
tūne mujhe de diyā dīvāngī kā silā
chaltā rahe umr bhar chāhat kā ye silsilā
tere pyār ne ye kyā …
jī chāhe aise tujhe bhar lūṅ maiṅ āgośh meṅ
maiṅ bhūl jāūṅ jahāṅ tū nā rahe hośh meṅ
tujhko banāke khudā terī ibādat karūṅ
bhūle nā tujhko kabhī itnī mohabbat karūṅ
tere pyār ne ye kyā …