Tere nainaa talaash kare jise

तेरे नैना तलाश करे जिसे
Work
Year
Language

खोयी खोयी आँख है झुकी पलक है
जहाँ जहाँ देखेगा तू वहीं झलक है
खोयी खोयी …

तेरे नैना तलाश करे जिसे
वो है तुझी में कहीं दीवाने
तेरे नैना …

यहाँ दो रूप हैं हर एक के
यहाँ नज़रें उठाना ज़रा देख के
ओ जब उस की मुहब्बत में गुम है तू
वही सूरत नज़र आयेगी चार सू
कौन क्‌या है मन के सिवा ये कोई क्‌या जाने
तेरे नैना …

ये जवान रात ले के तेरा नाम
कहे हाथ बढ़ा कोई हाथ थाम

ओ काली अलका के बादल में बिजलियाँ
गोरी बाहों में चाहत की अंगड़ाइयाँ
जो अदा है इशारा है प्यार का
ओ दीवाने तुझे चाहिये और क्‌या
पर रुक जा मन की सदा भी सुन दीवाने
तेरे नैना …

khoyī khoyī āṇkh hai jhukī palak hai
jahāṇ jahāṇ dekhegā tū vahīṅ jhalak hai
khoyī khoyī …

tere nainā talāśh kare jise
vo hai tujhī meṅ kahīṅ dīvāne
tere nainā …

yahāṇ do rūp haiṅ har ek ke
yahāṇ nazreṅ uṭhānā zarā dekh ke
o jab us kī muhabbat meṅ gum hai tū
vahī sūrat nazar āyegī chār sū
kaun k‌yā hai man ke sivā ye koī k‌yā jāne
tere nainā …

ye javān rāt le ke terā nām
kahe hāth baṛhā koī hāth thām

o kālī alkā ke bādal meṅ bijliyāṇ
gorī bāhoṅ meṅ chāhat kī aṅgaṛāiyāṇ
jo adā hai iśhārā hai pyār kā
o dīvāne tujhe chāhiye aur k‌yā
par ruk jā man kī sadā bhī sun dīvāne
tere nainā …