Tere mere sapne ab ek rang hain

तेरे मेरे सपने अब एक रंग हैं
Work
Year
Language

तेरे मेरे सपने अब एक रंग हैं
हो जहाँ भी ले जाएं राहें, हम संग हैं

तेरे मेरे दिल का, तय था इक दिन मिलना
जैसे बहार आने पर, तय है फूल का खिलना
ओ मेरे जीवन साथी…

तेरे दुख अब मेरे, मेरे सुख अब तेरे
तेरे ये दो नैना, चांद और सूरज मेरे
ओ मेरे जीवन साथी…

लाख मना ले दुनिया, साथ न ये छूटेगा
आ के मेरे हाथों में, हाथ न ये छूटेगा
ओ मेरे जीवन साथी…

tere mere sapne ab ek raṅg haiṅ
ho jahāṇ bhī le jāeṅ rāheṅ, ham saṅg haiṅ

tere mere dil kā, tay thā ik din milnā
jaise bahār āne par, tay hai phūl kā khilnā
o mere jīvan sāthī…

tere dukh ab mere, mere sukh ab tere
tere ye do nainā, chāṅd aur sūraj mere
o mere jīvan sāthī…

lākh manā le duniyā, sāth na ye chhūṭegā
ā ke mere hāthoṅ meṅ, hāth na ye chhūṭegā
o mere jīvan sāthī…