latā: jīvan kī bagiyā mahkegī, lahkegī, chahkegī
khuśhiyoṅ kī kaliyāṇ jhūmeṅgī, jhūleṅgī, phūleṅgī
jīvan kī bagiyā …
latā: vo merā hogā, vo sapnā terā hogā
miljul ke māṇgā, vo terā merā hogā
jab jab vo muskurāegā, apnā saverā hogā …
thoṛā hamārā thoṛā tumhārā,
āyegā phir se bachapan hamārā
jīvan kī bagiyā …
kiśhor: ham aur baṅdheṅge, ham tum kuchh aur baṅdheṅge
hogā koī bīch, to ham tum aur baṅdheṅge
bāṅdhegā dhāgā kachchā, ham tum tab aur baṅdheṅge …
thoṛā hamārā thoṛā tumhārā
āyegā phir se bachapan hamārā
jīvan kī bagiyā …
latā: merā rājdulārā, vo jīvan prāṇ hamārā
phūlegā ek phūl, khilegā pyār hamārā
din kā vo sūraj hogā, rātoṅ kā chāṅd sitārā …
thoṛā hamārā thoṛā tumhārā
āyegā phir se bachapan hamārā
jīvan kī bagiyā …