तेरे खयालों में हम, तेरे ही बाहों में हम्
तेरे खयालों में हम, तेरे ही बाहों में हम -2
अपने हैं दोनो जहाँ, ओ जान-ए-बेखुदी यहाँ
तेरे खयालों …
यूँ रोशनी भोर की, पलकों में तेरे छुपी
जब आँख खोलेगा तू, पुतली में होंगे हमीं
हम हैं कला की जगह, आँखों में तेरे रवन
तेरे खयालों में हम, तेरे ही बाहों में हम
मदभर चंचल ये शाम, देती है तुझको पयाम
पत्थर से कर शायरी, तुझको हमारा सलाम
तू है जहाँ हम वहाँ, झूमे ज़मीं आस्मां
तेरे खयालों में हम, तेरे ही बाहों में हम्
tere khayāloṅ meṅ ham, tere hī bāhoṅ meṅ ham -2
apne haiṅ dono jahāṇ, o jān-e-bekhudī yahāṇ
tere khayāloṅ …
yūṇ rośhnī bhor kī, palkoṅ meṅ tere chhupī
jab āṇkh kholegā tū, putlī meṅ hoṅge hamīṅ
ham haiṅ kalā kī jagah, āṇkhoṅ meṅ tere ravan
tere khayāloṅ meṅ ham, tere hī bāhoṅ meṅ ham
madabhar chaṅchal ye śhām, detī hai tujhko payām
patthar se kar śhāyrī, tujhko hamārā salām
tū hai jahāṇ ham vahāṇ, jhūme zamīṅ āsmāṅ
tere khayāloṅ meṅ ham, tere hī bāhoṅ meṅ ham