तेरे हुस्न की क्या तारीफ करु, कुछ कहते हुए भी डरता हूँ
तेरे हुस्न की क्या तारीफ़ करूँ
कुछ कहते हुए भी डरता हूँ
कहीं भूल से तू ना समझ बैठे
की मैं तुझसे मोहब्बत करता हूँ
मेरे दिल में कसक सी होती है
तेरी राह से जब मैं गुजरती हूँ
इस बात से ये ना समझ लेना
की मैं तुझ से मोहब्बत करती हूँ
तेरी बात में गीतों की सरगम
तेरी चाल में पायल की छमछम
कोई देख ले तुझ को एक नज़र
मर जाये तेरी आँखों की कसम
मैं भी हूँ अजब एक दीवाना
मरता हूँ ना आहें भरता हूँ
कहीं भूल से तू ना समझ बैठे
की मैं तुझ से मोहब्बत करता हूँ
मेरे सामने जब तू आता है
जी धक से मेरा हो जाता है
लेती है तमन्ना अंगड़ाई
दिल जाने कहाँ खो जाता है
महसूस ये होता है मुझको
जैसे मैं तेरा दम भरती हूँ
इस बात से ये ना समझ लेना
की मैं तुझ से मोहब्बत करती हूँ
tere husn kī kyā tārīf karūṇ
kuchh kahte hue bhī ḍartā hūṇ
kahīṅ bhūl se tū nā samajh baiṭhe
kī maiṅ tujhse mohabbat kartā hūṇ
mere dil meṅ kasak sī hotī hai
terī rāh se jab maiṅ gujartī hūṇ
is bāt se ye nā samajh lenā
kī maiṅ tujh se mohabbat kartī hūṇ
terī bāt meṅ gītoṅ kī sargam
terī chāl meṅ pāyal kī chhamchham
koī dekh le tujh ko ek nazar
mar jāye terī āṇkhoṅ kī kasam
maiṅ bhī hūṇ ajab ek dīvānā
martā hūṇ nā āheṅ bhartā hūṇ
kahīṅ bhūl se tū nā samajh baiṭhe
kī maiṅ tujh se mohabbat kartā hūṇ
mere sāmne jab tū ātā hai
jī dhak se merā ho jātā hai
letī hai tamannā aṅgaṛāī
dil jāne kahāṇ kho jātā hai
mahsūs ye hotā hai mujhko
jaise maiṅ terā dam bhartī hūṇ
is bāt se ye nā samajh lenā
kī maiṅ tujh se mohabbat kartī hūṇ