Tere ham ai sanam ... pyaar men vaadaa rahaa

तेरे हम ऐ सनम ... प्यार में वादा रहा
Year
Language

तेरे हम ऐ सनम
प्यार में वादा रहा
ना जुदा होंगे हम प्यार में वादा रहा
तेरे हम ऐ सनम …

तेरी मेरी मेरी तेरी यारी हो गई
बैरी सारी दुनिया हमारी हो गई
तेरे सिवाय दिल में नहीं कोई मेरे
छोड़ दे ज़माना इशारे पे तेरे प्यार में वादा रहा
तेरे हम ऐ सनम …

आँखों में हैं सपने सिन्दूरी शाम के
देखूं तेरा रास्ता मैं दिल को थाम के
डोली लिए तेरे द्वारे आऊंगा
देखेगा जहां मैं तुझे ले जाऊंगा प्यार में वादा रहा
तेरे हम ऐ सनम …

tere ham ai sanam
pyār meṅ vādā rahā
nā judā hoṅge ham pyār meṅ vādā rahā
tere ham ai sanam …

terī merī merī terī yārī ho gaī
bairī sārī duniyā hamārī ho gaī
tere sivāy dil meṅ nahīṅ koī mere
chhoṛ de zamānā iśhāre pe tere pyār meṅ vādā rahā
tere ham ai sanam …

āṇkhoṅ meṅ haiṅ sapne sindūrī śhām ke
dekhūṅ terā rāstā maiṅ dil ko thām ke
ḍolī lie tere dvāre āūṅgā
dekhegā jahāṅ maiṅ tujhe le jāūṅgā pyār meṅ vādā rahā
tere ham ai sanam …