Tere gaalon kee chaandnee dekhe

तेरे गालों की चाँदनी देखे
Year
Language

तेरे गालों की चाँदनी देखे तो होवे हर दिल बेईमान
लगे हाथों में मेहंदी पिया की तो रंग तेरा लूट ले जहान
ओ तेरे गालों की चाँदनी …

ओय शावा
कली सी जवानी तेरी खिल जाएगी बन के फूल
ओ महक उठेगी रे तू सैंयाजी की बाहों में झूल
सुन नी कुड़िये आहा रेशम दी गुड़िये ओहो
कयामत कर देगी नी तेरी गज़ब की उठान
तेरे गालों की चाँदनी …

तारा जैसी बिंदिया तेरी घुंघटे में सजती रहे
हाँ चाँद सी कलाई सदा चूड़ियों से बजती रहे
नी मुटियारे तू ऐसा जादू डारे
कि तेरे सैंया छिड़कते फिरें तुझपे जान
तेरे गालों की चाँदनी …

मुझे तो पता ही न था मेरा भी है सपना कोई
अपनों ने चाहा सदा मेरा भी हो अपना कोई
तुझे देखा जब से आहा तुझे जाना जब से ओहो
मुझे दिल पे रहा न इख्तियार मेरी जान
तेरे गालों की चाँदनी …

tere gāloṅ kī chāṇdnī dekhe to hove har dil beīmān
lage hāthoṅ meṅ mehaṅdī piyā kī to raṅg terā lūṭ le jahān
o tere gāloṅ kī chāṇdnī …

oy śhāvā
kalī sī javānī terī khil jāegī ban ke phūl
o mahak uṭhegī re tū saiṅyājī kī bāhoṅ meṅ jhūl
sun nī kuṛiye āhā reśham dī guṛiye oho
kayāmat kar degī nī terī gazab kī uṭhān
tere gāloṅ kī chāṇdnī …

tārā jaisī biṅdiyā terī ghuṅghṭe meṅ sajtī rahe
hāṇ chāṇd sī kalāī sadā chūṛiyoṅ se bajtī rahe
nī muṭiyāre tū aisā jādū ḍāre
ki tere saiṅyā chhiṛakte phireṅ tujhpe jān
tere gāloṅ kī chāṇdnī …

mujhe to patā hī na thā merā bhī hai sapnā koī
apnoṅ ne chāhā sadā merā bhī ho apnā koī
tujhe dekhā jab se āhā tujhe jānā jab se oho
mujhe dil pe rahā na ikhtiyār merī jān
tere gāloṅ kī chāṇdnī …