Tere dvaar kharaa bhagvaan bhagat bhar de re jholee

तेरे द्वार खड़ा भगवान भगत भर दे रे झोली
Year
Language

तेरे द्वार खड़ा भगवान हो
तेरे द्वार खड़ा भगवान भगत भर दे रे झोली -2
तेरा होगा बड़ा एहसान कि जुग-जुग तेरी रहेगी शान
भगत भर दे रे झोली
तेरे द्वार खड़ा भगवान भगत भर दे रे झोली
ओ भगत भर दे रे झोली

डोल उठी है सारी धरती देख रे, डोला गगन है सारा -2
भीख माँगने आया तेरे घर, जगत का पालनहारा रे
जगत का पालनहारा
मैं आज तेरा मेहमान, कर ले रे मुझसे ज़रा पहचान

भगत भर दे रे झोली
तेरे द्वार खड़ा भगवान भगत भर दे रे झोली
ओ भगत भर दे रे झोली

आज लुटा दे रे सरबस अपना मान ले कहना मेरा -2
मिट जायेगा पल में तेरा जनम-जनम का फेरा रे
जनम-जनम का फेरा
तू छोड़ सकल अभिमान, अमर कर ले रे तू अपना दान

भगत भर दे रे झोली
तेरे द्वार खड़ा भगवान भगत भर दे रे झोली
ओ भगत भर दे रे झोली

tere dvār khaṛā bhagvān ho
tere dvār khaṛā bhagvān bhagat bhar de re jholī -2
terā hogā baṛā ehsān ki jug-jug terī rahegī śhān
bhagat bhar de re jholī
tere dvār khaṛā bhagvān bhagat bhar de re jholī
o bhagat bhar de re jholī

ḍol uṭhī hai sārī dhartī dekh re, ḍolā gagan hai sārā -2
bhīkh māṇgne āyā tere ghar, jagat kā pālanhārā re
jagat kā pālanhārā
maiṅ āj terā mehmān, kar le re mujhse zarā pahchān

bhagat bhar de re jholī
tere dvār khaṛā bhagvān bhagat bhar de re jholī
o bhagat bhar de re jholī

āj luṭā de re sarbas apnā mān le kahnā merā -2
miṭ jāyegā pal meṅ terā janam-janam kā pherā re
janam-janam kā pherā
tū chhoṛ sakal abhimān, amar kar le re tū apnā dān

bhagat bhar de re jholī
tere dvār khaṛā bhagvān bhagat bhar de re jholī
o bhagat bhar de re jholī