Tere chahre se nazar naheen hattee nazaare ham k‌yaa dekhen

तेरे चहरे से नज़र नहीं हटती नज़ारे हम क्‌या देखें
Year
Language

तेरे चेहरे से नज़र नहीं हटती नज़ारे हम क्‌या देखें
तुझे मिलके भी प्यास नहीं घटती नज़ारे हम क्‌या देखें

पिघले बदन तेरे तपती निगाहों से
शोलों की आँच आए बर्फ़ीली राहों से
लगे कदमों से आग लिपटती नज़ारे हम …

रंगों की बरखा है खुशबू का साथ है
किसको पता है अब दिन है की रात है
लगे दुनिया भी आज सिमटती नज़ारे हम …

पलकों पे फैला तेरी पलकों का साया है
चेहरे ने तेरे मेरा चेहरा छुपाया है
तेरे जलवों की धुँध नहीं छँटती नज़ारे हम …

tere chehre se nazar nahīṅ haṭtī nazāre ham k‌yā dekheṅ
tujhe milke bhī pyās nahīṅ ghaṭtī nazāre ham k‌yā dekheṅ

pighle badan tere taptī nigāhoṅ se
śholoṅ kī āṇch āe barfīlī rāhoṅ se
lage kadmoṅ se āg lipaṭtī nazāre ham …

raṅgoṅ kī barkhā hai khuśhbū kā sāth hai
kisko patā hai ab din hai kī rāt hai
lage duniyā bhī āj simaṭtī nazāre ham …

palkoṅ pe phailā terī palkoṅ kā sāyā hai
chehre ne tere merā chehrā chhupāyā hai
tere jalvoṅ kī dhuṇdh nahīṅ chhṇṭtī nazāre ham …