Tere chahre men vo jaadoo hai, bin dor kheenchaa jaataa hoon

तेरे चहरे में वो जादू है, बिन डोर खींचा जाता हूँ
Work
Year
Language

तेरे चेहरे में वो जादू है, बिन डोर खिंचा जाता हूँ
जाना होता है और मगर, तेरी और चला आता हूँ

जब से तुझको देखा है, देख के खुद को माना है
मानके दिल ये कहता है, मेरी खुशियों का तू है खजाना
पाना तुझको मुश्किल ही सही, पाने को मचल जाता हूँ
तेरे चेहरे में …

तेरी हीरे जैसे आँखें, आँखों में है लाखों बातें
बातों में रस की बरसातें, मुझमें प्यार की प्यास जगाये
चल पड़ते हैं तेरे साथ कदम, मैं रोक नहीं पाता हूँ
तेरे चेहरे में …

tere chehre meṅ vo jādū hai, bin ḍor khiṅchā jātā hūṇ
jānā hotā hai aur magar, terī aur chalā ātā hūṇ

jab se tujhko dekhā hai, dekh ke khud ko mānā hai
mānke dil ye kahtā hai, merī khuśhiyoṅ kā tū hai khajānā
pānā tujhko muśhkil hī sahī, pāne ko machal jātā hūṇ
tere chehre meṅ …

terī hīre jaise āṇkheṅ, āṇkhoṅ meṅ hai lākhoṅ bāteṅ
bātoṅ meṅ ras kī barsāteṅ, mujhmeṅ pyār kī pyās jagāye
chal paṛte haiṅ tere sāth kadam, maiṅ rok nahīṅ pātā hūṇ
tere chehre meṅ …