Teraa phoolon jaisaa rang ... chaahe chalen chhuriyaan

तेरा फूलों जैसा रंग ... चाहे चलें छुरियाँ
Year
Language

कि: तेरा फूलों जैसा रंग तेरा शीशे जैसा अंग
पड़ी जैसे ही नज़र मैं तो रह गया दंग
ल: आते-जाते करे तंग तेरे अच्छे नहीं ढंग
मैं तो करूँगी सगाई किसी दूसरे के संग
कि: ओ मेरे होते कोई और करे तेरे बारे गौर -2
ये न होगा किसी तौर चाहे चलें छुरियाँ

सीधे-सीधे हाँ करती है या चलना है थाने
ल: थाने जाते-जाते मर गए तुझसे कई दीवाने
कि: यूँ ही नखरे न कर तेरी चोटी को पकड़ -2
तुझे लाऊँगा मैं घर चाहे चलें छुरियाँ

ल: हाय तेरी बातें हैं अजब
कि: अरे हो ले होना है जो अब
ल: तुझे मेरी है क़सम कहीं ढाना न ग़ज़ब
कि: हो तुझे छोड़ेंगे न हम चाहे रोके हमें रब
ल: तू है इतना ही तंग तो मैं रंगी तेरे रंग
ले मैं चली तेरे संग चाहे चलें छुरियाँ

ल: दिल आने की बात है जब जो लग जाए प्यारा
कि: दिल पर किसका ज़ोर है दिल के आगे हर कोई हारा
हाय ओ मेरे यारा
दिल मिलने से तेरा-मेरा मेल है
ल: दिल मिलना मुक़द्दरों का खेल है
कि: दिल मिलने का मेला ये जहान है
ल: दिल मिलने से दुनिया जवान है
दिल आने की बात है …

तीर इशक़ वाला कोई माने या ना माने बे-कमान है
मोहब्बत हर दिल का अरमान मोहब्बत हर धड़कन की जान -2
किसी से कर ले तू पहचान किसी को दे-दे दिल और जान
किसी को रख दिल में मेहमान किसी के रह दिल में मेहमान
जवानी आती है इक बार ये मौसम रहता है दिन चार
न खोना इस रुत को बेकार नहीं नित खिलता ये गुलज़ार
किसी से कर लेना इकरार किसी से ले लेना इकरार
किसी की ख़ातिर हो बदनाम यही है दिलवालों का काम
ज़माना चाहे दे इल्ज़ाम समझ हर तोहमन को ईनाम
किसी से ले दिल का पैग़ाम किसी को दे दिल का पैग़ाम
दिल आने की बात है …

ki: terā phūloṅ jaisā raṅg terā śhīśhe jaisā aṅg
paṛī jaise hī nazar maiṅ to rah gayā daṅg
la: āte-jāte kare taṅg tere achchhe nahīṅ ḍhaṅg
maiṅ to karūṇgī sagāī kisī dūsre ke saṅg
ki: o mere hote koī aur kare tere bāre gaur -2
ye na hogā kisī taur chāhe chaleṅ chhuriyāṇ

sīdhe-sīdhe hāṇ kartī hai yā chalnā hai thāne
la: thāne jāte-jāte mar gae tujhse kaī dīvāne
ki: yūṇ hī nakhre na kar terī choṭī ko pakaṛ -2
tujhe lāūṇgā maiṅ ghar chāhe chaleṅ chhuriyāṇ

la: hāy terī bāteṅ haiṅ ajab
ki: are ho le honā hai jo ab
la: tujhe merī hai qasam kahīṅ ḍhānā na ġhazab
ki: ho tujhe chhoṛeṅge na ham chāhe roke hameṅ rab
la: tū hai itnā hī taṅg to maiṅ raṅgī tere raṅg
le maiṅ chalī tere saṅg chāhe chaleṅ chhuriyāṇ

la: dil āne kī bāt hai jab jo lag jāe pyārā
ki: dil par kiskā zor hai dil ke āge har koī hārā
hāy o mere yārā
dil milne se terā-merā mel hai
la: dil milnā muqaddroṅ kā khel hai
ki: dil milne kā melā ye jahān hai
la: dil milne se duniyā javān hai
dil āne kī bāt hai …

tīr iśhaq vālā koī māne yā nā māne be-kamān hai
mohabbat har dil kā armān mohabbat har dhaṛkan kī jān -2
kisī se kar le tū pahchān kisī ko de-de dil aur jān
kisī ko rakh dil meṅ mehmān kisī ke rah dil meṅ mehmān
javānī ātī hai ik bār ye mausam rahtā hai din chār
na khonā is rut ko bekār nahīṅ nit khiltā ye gulazār
kisī se kar lenā ikrār kisī se le lenā ikrār
kisī kī khātir ho badnām yahī hai dilvāloṅ kā kām
zamānā chāhe de ilzām samajh har tohman ko īnām
kisī se le dil kā paiġhām kisī ko de dil kā paiġhām
dil āne kī bāt hai …