तेरा मन मेरा मन मिले प्रीत यूँ खिले
ल: तेरा मन मेरा मन मिले प्रीत यूँ खिले कि दूर अँधेरे हों
मुझे तो ऐसा लगे कि बस तुम मेरे हो
मु: तेरा मन मेरा मन …
ल: अजी तुम मेरे हो
पायल की मेरी रुनझुन हो माथे की मेरी कुमकुम हो
जिसको ढूँढते थे नैना बोलो अजी क्या वही तुम हो
मन पे जादू किया रंग भर दिया रे चतुर चितेरे हो
मुझे तो ऐसा लगे कि …
मु: देखी झलक आँखों में मिलती नहीं वो लाखों पे
तेरे जितने रंग कहाँ तितली की चंचल पाँखो में
पहले तो रूप सजा के जी अब यूँ लजा के क्यूँ मुखड़ा फेरे हो
मुझे तो ऐसा लगे कि …
la: terā man merā man mile prīt yūṇ khile ki dūr aṇdhere hoṅ
mujhe to aisā lage ki bas tum mere ho
mu: terā man merā man …
la: ajī tum mere ho
pāyal kī merī runjhun ho māthe kī merī kumkum ho
jisko ḍhūṇḍhte the nainā bolo ajī kyā vahī tum ho
man pe jādū kiyā raṅg bhar diyā re chatur chitere ho
mujhe to aisā lage ki …
mu: dekhī jhalak āṇkhoṅ meṅ miltī nahīṅ vo lākhoṅ pe
tere jitne raṅg kahāṇ titlī kī chaṅchal pāṇkho meṅ
pahle to rūp sajā ke jī ab yūṇ lajā ke kyūṇ mukhaṛā phere ho
mujhe to aisā lage ki …