मु: तेल मालिश बूट पालिश
एक आना बूट पालिश दो आना तेल मालिश
गाढ़े पसीने की ये अपनी कमाई है
ना तो किसी की चोरी ना कोई सीना-ज़ोरी
हाथों से रोटी जो कमाई है तो खाई है
को: एक आना बूट पालिश …
बंगले में रहते नहीं रहते हैं चाल में
ख़ुश ही रहे हैं यारों रहें जिस हाल में
फाक़े भी काटे पर मांगी नहीं पाई है
को: एक आना बूट पालिश …
लाखों की तमन्ना है न महलों का ख़्याल है
सुबह-शाम रोटी मिले इतना सवाल है
तो भी न जीने दे ये दुनिया दुहाई है
को: एक आना बूट पालिश …
दुनिया में छोटा नहीं कोई छोटे काम से
छोटा है जो पेट भरे किसी खोटे काम से
हाथों की मेहनत में कौन सी बुराई है
को: एक आना बूट पालिश …
mu: tel māliśh būṭ pāliśh
ek ānā būṭ pāliśh do ānā tel māliśh
gāṛhe pasīne kī ye apnī kamāī hai
nā to kisī kī chorī nā koī sīnā-zorī
hāthoṅ se roṭī jo kamāī hai to khāī hai
ko: ek ānā būṭ pāliśh …
baṅgle meṅ rahte nahīṅ rahte haiṅ chāl meṅ
khuśh hī rahe haiṅ yāroṅ raheṅ jis hāl meṅ
phāqe bhī kāṭe par māṅgī nahīṅ pāī hai
ko: ek ānā būṭ pāliśh …
lākhoṅ kī tamannā hai na mahloṅ kā khyāl hai
subah-śhām roṭī mile itnā savāl hai
to bhī na jīne de ye duniyā duhāī hai
ko: ek ānā būṭ pāliśh …
duniyā meṅ chhoṭā nahīṅ koī chhoṭe kām se
chhoṭā hai jo peṭ bhare kisī khoṭe kām se
hāthoṅ kī mehnat meṅ kaun sī burāī hai
ko: ek ānā būṭ pāliśh …