āśhā: lāyī kahāṇ ai ziṅdgī, hai sāmne maṅzil merī
phir bhī maṅzil tak maiṅ jā na sakūṇ
sapnoṅ kī duniyā pā na sakūṇ
lāyī kahāṇ ai ziṅdgī …
ghar se chalī thī apnī hī dhun meṅ
maiṅ kyā kyā armāṇ liye
pahuṇchī yahāṇ to chupke khaṛī hūṇ
dil thāme, āṇsū piye
niklī na dil kī āvāz bhī
lāyī kahāṇ ai ziṅdgī …
latā: ā, merā to jīvan hai gīt mere
chup kaise rah jāūṇgī, o
hoṅṭhoṅ pe chāhe ho khūn dil kā
phir bhī maiṅ to gāūṇgī
dīvānī maiṅ saṅgīt kī
lāyī kahāṇ ai ziṅdgī …
āśhā: zakhmī qadam haiṅ, ghāyal hai rāhī
qismat kī zaṅjīr se
hārī nahīṅ jo duniyā ke ġham se
vo hārī taqdīr se
majbūr kitnī hai ziṅdgī
lāyī kahāṇ ai ziṅdgī …