तक़दीर के चक्कर ... ग़म हो के सितम तू कभी
तक़दीर के चक्कर ये उलटफेर ये अन्धेर
बनते न लगे देर बिगड़ते न लगे देर
ग़म हो के सितम तू कभी आँसू न बहाना
झुक जाएगा एक दिन तेरे क़दमों पे ज़माना
दिन ढलता है शाम आती है बढ़ता है अँधेरा
फिर रात गुज़र जाती है आता है सवेरा
ऐसे ही ग़म के बाद ख़ुशी का भी है फेरा
दुख दर्द के आगे तू कभी सर ना झुकाना
झुक जाएगा एक दिन …
क्यूँ भूल गया पगले ये मशहूर कहानी
काँटों पे पला करती है फूलों की जवानी
इनसान तो कर देता है पत्थर को भी पानी
हिम्मत से मुसीबत के ये दिन काटते जाना
झुक जाएगा एक दिन …
अफ़सोस न कर देख के इन हाथों की ताबीर
इक रोज़ बदलकर ही रहेगी तेरी तक़दीर
तक़दीर का शिक़वा कभी होंठों पे न लाना
झुक जाएगा एक दिन …
taqdīr ke chakkar ye ulaṭpher ye andher
bante na lage der bigaṛte na lage der
ġham ho ke sitam tū kabhī āṇsū na bahānā
jhuk jāegā ek din tere qadmoṅ pe zamānā
din ḍhaltā hai śhām ātī hai baṛhtā hai aṇdherā
phir rāt guzar jātī hai ātā hai saverā
aise hī ġham ke bād khuśhī kā bhī hai pherā
dukh dard ke āge tū kabhī sar nā jhukānā
jhuk jāegā ek din …
kyūṇ bhūl gayā pagle ye maśhhūr kahānī
kāṇṭoṅ pe palā kartī hai phūloṅ kī javānī
insān to kar detā hai patthar ko bhī pānī
himmat se musībat ke ye din kāṭte jānā
jhuk jāegā ek din …
afsos na kar dekh ke in hāthoṅ kī tābīr
ik roz badalkar hī rahegī terī taqdīr
taqdīr kā śhiqvā kabhī hoṅṭhoṅ pe na lānā
jhuk jāegā ek din …