Taqdeer kaa fasaanaa jaakar kise sunaaen

तक़दीर का फ़साना जाकर किसे सुनाएं
Work
Year
Language

तक़दीर का फ़साना जाकर किसे सुनाएं
इस दिल में जल रही हैं अरमान की चिताएं

साँसों में आज मेरे तूफ़ान उठ रहे हैं
शहनाईओं से कह दो कहीं और जा के गाएं
इस दिल में जल रही हैं अरमान की चिताएं

मतवाले चाँद सूरज तेरा उठाये डोला
तुझको खुशी की परियाँ घर तेरे ले के जाएं
इस दिल में जल रही हैं अरमान की चिताएं

तुम तो रहो सलामत सेहरा तुम्हे मुबारक
मेरा हर एक आँसू देने लगा दुआएं
इस दिल में जल रही हैं अरमान की चिताएं

taqdīr kā fasānā jākar kise sunāeṅ
is dil meṅ jal rahī haiṅ armān kī chitāeṅ

sāṇsoṅ meṅ āj mere tūfān uṭh rahe haiṅ
śhahnāīoṅ se kah do kahīṅ aur jā ke gāeṅ
is dil meṅ jal rahī haiṅ armān kī chitāeṅ

matvāle chāṇd sūraj terā uṭhāye ḍolā
tujhko khuśhī kī pariyāṇ ghar tere le ke jāeṅ
is dil meṅ jal rahī haiṅ armān kī chitāeṅ

tum to raho salāmat sehrā tumhe mubārak
merā har ek āṇsū dene lagā duāeṅ
is dil meṅ jal rahī haiṅ armān kī chitāeṅ