Tanhaaee dil ke raste men kaisee thokar maine khaaee

तन्हाई दिल के रसते में कैसी ठोकर मैने खाई
Year
Language

तन्हाई तन्हाई
दिल के रास्ते में कैसी ठोकर मैने खाई
टूटे ख्वाब सारे एक मायूसी है छाई
हर खुशी सो गई ज़िंदगी खो गई
तुम को जो प्यार किया मैने तो सज़ा में पाई
तन्हाई तन्हाई
मीलों है फैली हुई तन्हाई

ख्वाब में देखा था इक आँचल मैने अपने हाथों में
अब टूटे सपनों के शीशे चुभते हैं इन आँखों में
कल कोई था यहीं अब कोई भी नहीं
बन के नागिन जैसे है साँसों में लहराई
तन्हाई तन्हाई पलकों पे कितने आँसू है लाई

क्‌यूँ ऐसी उम्मीद की मैने जो ऐसे नाकाम हुई
दूर बनाई थी मंज़िल तो रस्ते में ही शाम हुई
अब कहाँ जाऊँ मैं किस को समझाऊँ मैं
क्‌या मैने चाहा था और क्‌यूँ किस्मत में आई
तन्हाई तन्हाई
जैसे अंधेरों की हो गहराई

दिल के रास्ते में …
तन्हाई तन्हाई तन्हाई तन्हाई

tanhāī tanhāī
dil ke rāste meṅ kaisī ṭhokar maine khāī
ṭūṭe khvāb sāre ek māyūsī hai chhāī
har khuśhī so gaī ziṅdgī kho gaī
tum ko jo pyār kiyā maine to sazā meṅ pāī
tanhāī tanhāī
mīloṅ hai phailī huī tanhāī

khvāb meṅ dekhā thā ik āṇchal maine apne hāthoṅ meṅ
ab ṭūṭe sapnoṅ ke śhīśhe chubhte haiṅ in āṇkhoṅ meṅ
kal koī thā yahīṅ ab koī bhī nahīṅ
ban ke nāgin jaise hai sāṇsoṅ meṅ lahrāī
tanhāī tanhāī palkoṅ pe kitne āṇsū hai lāī

k‌yūṇ aisī ummīd kī maine jo aise nākām huī
dūr banāī thī maṅzil to raste meṅ hī śhām huī
ab kahāṇ jāūṇ maiṅ kis ko samjhāūṇ maiṅ
k‌yā maine chāhā thā aur k‌yūṇ kismat meṅ āī
tanhāī tanhāī
jaise aṅdheroṅ kī ho gahrāī

dil ke rāste meṅ …
tanhāī tanhāī tanhāī tanhāī