Tan-man tere rang-rangoongee

तन-मन तेरे रंग-रंगूँगी
Work
Year
Language

तन-मन तेरे रंग-रंगूँगी
छाया बनकर संग चलूँगी
सेवा करूँगी अंग लगूँगी
अर्चना मैं तेरी साजना
तन-मन तेरे …

जन्म-जन्म तेरे बिना नैना नहीं सोए
घड़ी-घड़ी सपने तेरे पलकों ने पिरोए
तू है मेरे जीवन की साधना
तन-मन तेरे …

प्यार तेरा कुमकुम है बाँहें तेरी माला
प्राण मेरा पुजारी तेरा मन है शिवाला
ज़िन्दगी है तेरी प्रार्थना
तन-मन तेरे …

झूम उठा अँगना मेरा पड़ी नज़र तेरी
राम करे लागे तुझे सारी उमर मेरी
दुनिया रूठे तू ना रूठना
तन-मन तेरे …

tan-man tere raṅg-raṅgūṇgī
chhāyā bankar saṅg chalūṇgī
sevā karūṇgī aṅg lagūṇgī
archnā maiṅ terī sājnā
tan-man tere …

janm-janm tere binā nainā nahīṅ soe
ghaṛī-ghaṛī sapne tere palkoṅ ne piroe
tū hai mere jīvan kī sādhnā
tan-man tere …

pyār terā kumkum hai bāṇheṅ terī mālā
prāṇ merā pujārī terā man hai śhivālā
zindgī hai terī prārthnā
tan-man tere …

jhūm uṭhā aṇgnā merā paṛī nazar terī
rām kare lāge tujhe sārī umar merī
duniyā rūṭhe tū nā rūṭhnā
tan-man tere …