dil bhī terā ham bhī tere, hamko pyāre haiṅ ġham bhī tere
dil bhī terā ham bhī tere, hamko pyāre haiṅ ġham bhī tere
aur bhī haiṅ sitam to kar le, ke sitam bhī karam haiṅ tere
dil bhī terā ham bhī tere
lāke tūfānoṅ meṅ rakh dī tūne naiyā ziṅdgī kī
aur śhart-e-imtihāṇ hai ke na bhīge dāman bhī
ke na bhīge dāman bhī
ye batā de kab talak yūṇ āzmāyegā dil ko mere
dil bhī terā ham bhī tere …
baṛhte jāte haiṅ andhere ḍūbī jātī haiṅ nigāheṅ
tere bhaṭke hue baṅde jāyeṅ to kidhar jāyeṅ
jāyeṅ to kidhar jāyeṅ
dūr kyoṅ hai hamse dātā terī rahmat ke savere
dil bhī terā ham bhī tere …
tū jo nazroṅ se girā de to ye jīnā bhī gunāh hai
apnī duniyā se uṭhā le ab to ye hī iltejā hai
ab to ye hī iltejā hai
marte marte bhī rahegā nām terā hī lab pe mere
dil bhi terā ham bhī tere, hamko pyāre haiṅ gam bhī tere
aur bhī haiṅ sitam to kar le, ke sitam bhī karam haiṅ tere
dil bhī terā ham bhī tere