Takraa gaye do baadal ambar pe

तकरा गये दो बादल अम्बर पे
Work
Year
Language

आशा: टकरा गये दो बादल अम्बर पे
तो बरसने लगे बून्दें बिखर के
टकरा गये दो

विनोद (speaking): मौशुमी, कितना प्यारा नाम है ये
इस नाम का साथ तो हर मौसम से है
चाहे वो सर्दी का हो या गर्मी का
पतझड़ का या सावन का

आशा: आहा! छोड़ो जाओ, बड़े वो हो तुम
नाम मेरा जोड़ दिया, मौसम से सनम
मौसम फिर भी, मौसम है सनम
नाम मेर जोड़ा न बता ख़ुद से क्‌यों बलम
मुझसे मिलाओ ये नैन तो
ऐसे न जलाओ मेरे मन को
टकरा गये दो

विनोद (speaking): ये सावन का मौसम तो ख़ूबसूरत है ही
लेकिन तुम्हारी इस ख़ूबसूरत उमर ने
इसे और भी ख़ूबसूरत बना दिया है

आशा: जाने आई कैसी ये उमर
बन के कली खिलने लगी
सूनी राह पर
तन में मन में, उठी ये लहर
तुझसे सजन टकराए मन, जाऊँ मैं बिखर
आग लगे रे सावन को, छू गया मेरे दामन को
टकरा गये दो बादल अम्बर पे
तो बरसने लगे बून्दें बिखर के
टकरा गये दो

āśhā: ṭakrā gaye do bādal ambar pe
to barasne lage būndeṅ bikhar ke
ṭakrā gaye do

vinod (speaking): mauśhumī, kitnā pyārā nām hai ye
is nām kā sāth to har mausam se hai
chāhe vo sardī kā ho yā garmī kā
patjhaṛ kā yā sāvan kā

āśhā: āhā! chhoṛo jāo, baṛe vo ho tum
nām merā joṛ diyā, mausam se sanam
mausam phir bhī, mausam hai sanam
nām mer joṛā na batā khud se k‌yoṅ balam
mujhse milāo ye nain to
aise na jalāo mere man ko
ṭakrā gaye do

vinod (speaking): ye sāvan kā mausam to khūbsūrat hai hī
lekin tumhārī is khūbsūrat umar ne
ise aur bhī khūbsūrat banā diyā hai

āśhā: jāne āī kaisī ye umar
ban ke kalī khilne lagī
sūnī rāh par
tan meṅ man meṅ, uṭhī ye lahar
tujhse sajan ṭakrāe man, jāūṇ maiṅ bikhar
āg lage re sāvan ko, chhū gayā mere dāman ko
ṭakrā gaye do bādal ambar pe
to barasne lage būndeṅ bikhar ke
ṭakrā gaye do