Taal pe jab ye zindgaanee chalee

ताल पे जब ये ज़िन्दगानी चली
Work
Year
Language

ताल पे जब ये ज़िन्दगानी चली
ओ ताल पे जब ये ज़िन्दगानी चली
हम हैं दीवाने हम हैं दीवाने ये कहानी चली ओ आ
ताल पे जब ये …

तेरी नज़र की धूप है जिसने मुझको रूप दिया है
निखर गई हूँ संवर गई हूँ जबसे प्यार किया है
सच तो ये है सनम है ये तेरा करम
होश सारा गंवा के दीवानी चली
ताल पे जब ये …

सच कहता हूँ मैने जब से थामा है ये आँचल
मेरी दुनिया में हरपल है जैसे कोई हलचल
सपने सजने लगे साज़ बजने लगे
बदला मौसम हवा जो सुहानी चली
ताल पे जब ये …

tāl pe jab ye zindgānī chalī
o tāl pe jab ye zindgānī chalī
ham haiṅ dīvāne ham haiṅ dīvāne ye kahānī chalī o ā
tāl pe jab ye …

terī nazar kī dhūp hai jisne mujhko rūp diyā hai
nikhar gaī hūṇ saṅvar gaī hūṇ jabse pyār kiyā hai
sach to ye hai sanam hai ye terā karam
hośh sārā gaṅvā ke dīvānī chalī
tāl pe jab ye …

sach kahtā hūṇ maine jab se thāmā hai ye āṇchal
merī duniyā meṅ harpal hai jaise koī halchal
sapne sajne lage sāz bajne lage
badlā mausam havā jo suhānī chalī
tāl pe jab ye …