Taakte rahte tujhko saanjh savere

ताकते रहते तुझको सांझ सवेरे
Work
Year
Language

ताकते रहते तुझको सांझ सवेरे
नैनों में बसिया जैसे नैन यह तेरे
तेरे मस्त मस्त दो नैन
मेरे दिल का ले गये चैन

पहले पहल तुझे देखा तो दिल मेरा धड़का हाए
जल जल उठा हूँ मैं शोला जो प्यार का, भड़का हाए
नींदों में घूल गये हैं सपने जो तेरे
बदले से लग रहे हैं अंदाज़ मेरे

तुझसे शुरू हुई तुझपे ही ख़त्म हो दुनिया मेरी
ये बात दिल में थी, नैनों ने बोल दी, मैं हूँ तेरी
तुझको ही याद कर के आहें भरूँ मैं
मिल के ही मिल न पाऊं, अब क्या करूँ मैं

माही बे-आप सा, दिल यह बेताब सा, तडपा जाए
नैनों के झील में, उतरा था यूँही दिल, डूबा जाए
होशों हवास अब तो खोने लगे हैं
हम भी दीवाने तेरे होने लगे हैं

tākte rahte tujhko sāṅjh savere
nainoṅ meṅ basiyā jaise nain yah tere
tere mast mast do nain
mere dil kā le gaye chain

pahle pahal tujhe dekhā to dil merā dhaṛkā hāe
jal jal uṭhā hūṇ maiṅ śholā jo pyār kā, bhaṛkā hāe
nīṅdoṅ meṅ ghūl gaye haiṅ sapne jo tere
badle se lag rahe haiṅ aṅdāz mere

tujhse śhurū huī tujhpe hī khatm ho duniyā merī
ye bāt dil meṅ thī, nainoṅ ne bol dī, maiṅ hūṇ terī
tujhko hī yād kar ke āheṅ bharūṇ maiṅ
mil ke hī mil na pāūṅ, ab kyā karūṇ maiṅ

māhī be-āp sā, dil yah betāb sā, taḍpā jāe
nainoṅ ke jhīl meṅ, utrā thā yūṇhī dil, ḍūbā jāe
hośhoṅ havās ab to khone lage haiṅ
ham bhī dīvāne tere hone lage haiṅ