yūṇ hī chalā chal rāhī
yūṇ hī chalā chal rāhī
kitnī hasīn hai ye duniyā
bhūl sāre jhamele,
dekh phuloṅ ke mele
baḍī raṅgīn hai ye duniyā
ye rāstā hai kah rahā ab mujhse
milne ko hai koī kahīṅ ab tujhse
dil ko hai kyoṅ ye betābī, kisse mulākāt honī hai
jiskā kab se armāṅ thā, śhāyad vo hī bāt honī hai
yūṇ hī chalā chal rāhī, yūṇ hī chalā chal rāhī
jīvan gāḍī hai, samay paiyyā
āṅsū kī nadīyā bhī hai, khuśhiyoṅ kī bagiyā bhī hai
rastā sab tere take bhaiyyā
yūṇ hī chalā chal rāhī, yūṇ hī chalā chal rāhī
kitnī hasīn hai ye duniyā
phūl sāre jhamele, dekh phuloṅ ke mele
baḍī raṅgīn hai ye duniyā
dekhūṇ jidhar bhī in rāhoṅ meṅ, raṅg pighalte haiṅ nigāhoṅ meṅ
ṭhaṅḍī havā hai, ṭhaṅḍī chhāṇv hai, dūr vo jāne kiskā gāṇv hai
bādal ye kaisā chhāyā, dil ye kahāṇ le āyā
sapnā ye kyā dikhlāyā hai mujhko
har sapnā sach lage, jo prem agan jale
jo rāh tū chale, apne man kī
har pal kī sīṅp se motī hī tū chune
jo tū sadā sune, apne man kī
yūṇ hī chalā chal rāhī, yūṇ hī chalā chal rāhī
kitnī hasīn hai ye duniyā
phūl sāre jhamele, dekh phuloṅ ke mele
baḍī raṅgīn hai ye duniyā
man apne ko kuchh aise halkā pāe, jaise kaṅdho pe rakhā bojh haṭ jāe
jaise bholā sā bachapan phir se āe, jaise barsoṅ meṅ koī gaṅgā nahāe
dhul sā gayā hai ye man, khul sā gayā har baṅdhan
jīvan ab lagtā hai pāvan mujhko, jīvan meṅ prīt hai, hoṭhoṅ pe gīt hai
bas yahī jīt hai, sun le rāhī, tū jis diśhā bhī jā, tū pyār hī lūṭā
tū dīp hī jalā, sun le rāhī
yūṇ hī chalā chal rāhī, yūṇ hī chalā chal rāhī, kaun ye mujhko pukāre
nadiyā, pahāḍ, jhīl aur jharne, jaṅgal aur vādī, in meṅ haiṅ kiske iśhāre
yūṇ hī chalā chal rāhī, yūṇ hī chalā chal rāhī .......