chehre pe girī zulfeṅ kah do to haṭā dūṇ maiṅ
gustākhī māf, gustākhī māf
ik phūl tere jūṛe meṅ kah do to lagā dūṇ maiṅ
gustākhī māf, gustākhī māf
ye rūp, hasīṅ dhūp, bahut khūb hai lekin
ulfat ke binā phīkā chehrā terā raṅgīn
ik dīp muhabbat kā, kah do to jalā dūṇ maiṅ
gustākhī māf, gustākhī māf
chehre pe girī zulfeṅ …
ik āg, lagī hai, mere zakhm-e-jigar meṅ
ye kaisā kariśhmā hai terī śhokh nazar meṅ
jo bāt rukī lab par, kah do to batā dūṇ maiṅ
gustākhī māf, gustākhī māf
chehre pe girī zulfeṅ …
sarkār, huā pyār, khatā hamse huī hai
ab dil meṅ tum hī tum ho, ye jāṇ bhī terī hai
ab chīr ke is dil ko kah do to dikhā dūṇ maiṅ
gustākhī māf, gustākhī māf
chehre pe girī zulfeṅ …