सुर मिले हैं गुल खिले हैं ... हम कहाँ आ गए
सुर मिले हैं गुल खिले हैं मस्ती में झूमे मेरा दिल
क्या नज़ारे हैं क्या इशारे हैं आँखों के आगे है मंज़िल
सुर मिले हैं …
हम कहाँ आ गए हम कहाँ आ गए
हो सुर मिले हैं …
भंवरे ने कलियों से कहा मौसम ज़रा है बदगुमां हो
ओ दुल्हन बनी है ये ज़मीं कितना सुहाना है समां ओ
साँसों का गाना छेड़ो कोई फ़साना छेड़ो
कोई तराना छेड़ो हाँ
हम कहाँ आ गए …
हां साथी जो कोई संग हो चलने का आता है मज़ा ओ
तनहा गुज़ारे जो कोई ये ज़िंदगानी है सज़ा
ओ यादों के रेले होंगे हे वादों के मेले होंगे
हम ना अकेले होंगे हाँ
हम कहाँ आ गए …
सिंदूरी शाम हो गई पंछी घरों को चल पड़े हाँ
दरिया की मौजे हैं थमीं पनघट पे खाली हैं घड़े
ओ शबनम की प्याली प्याली पेड़ों की डाली डाली
गाए कोयलिया काली हाँ
हम कहाँ आ गए …
sur mile haiṅ gul khile haiṅ mastī meṅ jhūme merā dil
kyā nazāre haiṅ kyā iśhāre haiṅ āṇkhoṅ ke āge hai maṅzil
sur mile haiṅ …
ham kahāṇ ā gae ham kahāṇ ā gae
ho sur mile haiṅ …
bhaṅvre ne kaliyoṅ se kahā mausam zarā hai badgumāṅ ho
o dulhan banī hai ye zamīṅ kitnā suhānā hai samāṅ o
sāṇsoṅ kā gānā chheṛo koī fasānā chheṛo
koī tarānā chheṛo hāṇ
ham kahāṇ ā gae …
hāṅ sāthī jo koī saṅg ho chalne kā ātā hai mazā o
tanhā guzāre jo koī ye ziṅdgānī hai sazā
o yādoṅ ke rele hoṅge he vādoṅ ke mele hoṅge
ham nā akele hoṅge hāṇ
ham kahāṇ ā gae …
siṅdūrī śhām ho gaī paṅchhī gharoṅ ko chal paṛe hāṇ
dariyā kī mauje haiṅ thamīṅ panghaṭ pe khālī haiṅ ghaṛe
o śhabnam kī pyālī pyālī peṛoṅ kī ḍālī ḍālī
gāe koyliyā kālī hāṇ
ham kahāṇ ā gae …