Sunojee shikaaree ne shikaar kiyaa ... maar diyaa ... pyaar kiyaa

सुनोजी शिकारी ने शिकार किया ... मार दिया ... प्यार किया
Work
Year
Language

कोई है कोई है
ऐ सुनोजी शिकारी ने शिकार किया
मार दिया मुझे मार दिया
खन खन गई मेरी चूड़ियों से
छम छम गई मेरी पायलों से
ओ चुनरी को मेरी तार तार किया
मार दिया मुझे मार दिया

कोई है
प्यार मैने तेरा स्वीकार किया
प्यार किया तुझे प्यार किया
चोटी से तूने मुझे बांध लिया
तीखी तीखी नज़रों का वार किया
अरे झटके ने तेरे मुझे मार दिया
प्यार किया तुझे प्यार किया

जब से खिली है पिया कली मेरे मन की
तुझको बुलाती है ये खुश्बू बदन की
छलक रही है तेरे रूप की गगरिया
फिर भी है प्यासा गोरी तेरा ये सांवरिया
तूने मुझे बड़ा बेकरार किया
प्यार किया तुझे प्यार किया
ओ सुनोजी शिकारी ने …

उलझी है लट मेरी कहती है बिंदिया
तेरे बिना हाय मुझे आती नहीं निंदिया
किसलिए करती है इतनी तू जल्दी
हाथों पे रचेगी मेहंदी और तन पे हल्दी
मैने तेरे रूप को निखार दिया
प्यार किया तुझे प्यार किया
ओ सुनोजी शिकारी ने …

koī hai koī hai
ai sunojī śhikārī ne śhikār kiyā
mār diyā mujhe mār diyā
khan khan gaī merī chūṛiyoṅ se
chham chham gaī merī pāyloṅ se
o chunrī ko merī tār tār kiyā
mār diyā mujhe mār diyā

koī hai
pyār maine terā svīkār kiyā
pyār kiyā tujhe pyār kiyā
choṭī se tūne mujhe bāṅdh liyā
tīkhī tīkhī nazroṅ kā vār kiyā
are jhaṭke ne tere mujhe mār diyā
pyār kiyā tujhe pyār kiyā

jab se khilī hai piyā kalī mere man kī
tujhko bulātī hai ye khuśhbū badan kī
chhalak rahī hai tere rūp kī gagriyā
phir bhī hai pyāsā gorī terā ye sāṅvriyā
tūne mujhe baṛā bekrār kiyā
pyār kiyā tujhe pyār kiyā
o sunojī śhikārī ne …

uljhī hai laṭ merī kahtī hai biṅdiyā
tere binā hāy mujhe ātī nahīṅ niṅdiyā
kislie kartī hai itnī tū jaldī
hāthoṅ pe rachegī mehaṅdī aur tan pe haldī
maine tere rūp ko nikhār diyā
pyār kiyā tujhe pyār kiyā
o sunojī śhikārī ne …