Suno zaraa havaaon men ye kaisee hai sadaa

सुनो ज़रा हवाओं में ये कैसी है सदा
Work
Year
Language

सुनो ज़रा सुनो ज़रा हवाओं में
ये कैसी है सदा कोई तो है जो ये कह रहा है की राह में
वो मोड़ आ गया है कि जिसके आगे ना ज़मीं है न आसमां
न मंज़िलें न रास्ता
सुनो ज़रा …

यादों के ग़म ही हैं उसमें गाती हैं तनहाइयां
हाँ दिन ढल रहा है तो कितनी लम्बी हैं परछाइयां
बस एक पल में होगा धुआं है आरज़ू कि ये सदा
सुनो ज़रा …

धुंधला गए हैं सितारे फूलों को नींद आ गई
गुमसुम से हम सोचते हैं बातें अधूरी कई हुईं न पूरी
क्‌यूं कोई भी दास्तां किसे खबर किसे पता
सुनो ज़रा …

suno zarā suno zarā havāoṅ meṅ
ye kaisī hai sadā koī to hai jo ye kah rahā hai kī rāh meṅ
vo moṛ ā gayā hai ki jiske āge nā zamīṅ hai na āsmāṅ
na maṅzileṅ na rāstā
suno zarā …

yādoṅ ke ġham hī haiṅ usmeṅ gātī haiṅ tanhāiyāṅ
hāṇ din ḍhal rahā hai to kitnī lambī haiṅ parchhāiyāṅ
bas ek pal meṅ hogā dhuāṅ hai ārazū ki ye sadā
suno zarā …

dhuṅdhlā gae haiṅ sitāre phūloṅ ko nīṅd ā gaī
gumsum se ham sochte haiṅ bāteṅ adhūrī kaī huīṅ na pūrī
k‌yūṅ koī bhī dāstāṅ kise khabar kise patā
suno zarā …