Suno jee suno, hamaaree bhee suno

सुनो जी सुनो, हमारी भी सुनो
Year
Language

सुनो जी सुनो, हमारी भी सुनो
अजी महर्बान … हमरी भी सुनो
न टप्पा, न ठुमरी, ग़ज़ल है न कजरी
यह रागिनी है प्यार की
सुनो जी सुनो, अजी महर्बान
हमारी भी सुनो

तराना हमारा ज़माने से न्यारा
हर एक सुर में दिल है धड़कता हुआ
हर एक बोल प्यारा कि जैसे सितारा
अकेला गगन में चमकता हुआ
सुनो जी सुनो …

इशारों में बोलूँ, ज़ुबां तक न खोलूँ
निगाहों से कह दूँ समझ लो अगर
न यह बेख़ुदी है, न दीवानगी है
मुझे तो लगी है तुम्हारी नज़र
सुनो जी सुनो …

सुनो मेरे जी की, मेरी आर्ज़ू की
तमन्ना यही थी के तुम हो करीब
यह चिल्मन हटा दो, वह झल्की दिखा दो
कि अब तो जगा दो हमारे नसीब
सुनो जी सुनो …

suno jī suno, hamārī bhī suno
ajī maharbān … hamrī bhī suno
na ṭappā, na ṭhumrī, ġhazal hai na kajrī
yah rāginī hai pyār kī
suno jī suno, ajī maharbān
hamārī bhī suno

tarānā hamārā zamāne se nyārā
har ek sur meṅ dil hai dhaṛaktā huā
har ek bol pyārā ki jaise sitārā
akelā gagan meṅ chamaktā huā
suno jī suno …

iśhāroṅ meṅ bolūṇ, zubāṅ tak na kholūṇ
nigāhoṅ se kah dūṇ samajh lo agar
na yah bekhudī hai, na dīvāngī hai
mujhe to lagī hai tumhārī nazar
suno jī suno …

suno mere jī kī, merī ārzū kī
tamannā yahī thī ke tum ho karīb
yah chilman haṭā do, vah jhalkī dikhā do
ki ab to jagā do hamāre nasīb
suno jī suno …