Sunee sunaayee baat naheen hai

सुनी सुनायी बात नहीं है
Work
Language

देर लगी आने में तुम को शुकर है फिर भी आये तो
आस ने दिल का साथ न छोड़ा वैसे हम घबराये तो

शफ़ाक़, धनक, महताब, घटएं, तारे, नग़में, बिजली, फूल
क्‌या-क्‌या उस दामन में है, वो दामन हाथ में आये तो

सुनी सुनायी बात नहीं है, अपने ऊपर बीती है
फूल निकलते हैं शोलों से, चाहत आग लगये तो

झूठ है सब तारीख़ हमेशा अपने को दोहोराती है
अच्छा मेरा ख़्वाब-ए-जवानी थोड़ा सा दोहराये तो

चाहत के बदले में हम तो बेच दें अपनी मर्ज़ी तक
कोई मिले तो दिल का गाहक कोई हमें अपनाये तो

क्‌यों ये महरन्गेज़ तबस्सुम मद्द-ए-नज़र जब कुछ भी नहीं
हाय्! अगर कोई अनजान अगर इस धोखे में आ जाये तो

नादानी और मजबूरी में यारो कुछ तो फ़र्क़ करो
एक बेबस इन्सान करे क्‌या टूट के दिल आ जाये तो

der lagī āne meṅ tum ko śhukar hai phir bhī āye to
ās ne dil kā sāth na chhoṛā vaise ham ghabrāye to

śhafāq, dhanak, mahtāb, ghaṭaeṅ, tāre, naġhmeṅ, bijlī, phūl
k‌yā-k‌yā us dāman meṅ hai, vo dāman hāth meṅ āye to

sunī sunāyī bāt nahīṅ hai, apne ūpar bītī hai
phūl nikalte haiṅ śholoṅ se, chāhat āg lagye to

jhūṭh hai sab tārīkh hameśhā apne ko dohorātī hai
achchhā merā khvāb-e-javānī thoṛā sā dohrāye to

chāhat ke badle meṅ ham to bech deṅ apnī marzī tak
koī mile to dil kā gāhak koī hameṅ apnāye to

k‌yoṅ ye mahrangez tabassum madd-e-nazar jab kuchh bhī nahīṅ
hāy! agar koī anjān agar is dhokhe meṅ ā jāye to

nādānī aur majbūrī meṅ yāro kuchh to farq karo
ek bebas insān kare k‌yā ṭūṭ ke dil ā jāye to