Sun sun sun mere saathiyaa

सुन सुन सुन मेरे साथिया
Work
Year
Language

( सुन सुन सुन मेरे साथिया कब आएँगे रे पिया -2
ना नींद आती है ना चैन आता है मुझे हो के उनसे जुदा ) -2
सुन सुन सुन मेरे …

वायदा था आने का लगता है किसी ने रोका है
तू ही बता रे पिया शराफ़त नहीं ये तो धोखा है
बड़ी याद आती है मुझको सताती है
मुझे ले चल या उनको बुला
सुन सुन सुन मेरे …

क्‌या करूँ रातों को ख़्वाबों में वो तड़पाते हैं
क्‌या कहूँ दिन में भी तारे मुझे नज़र आते हैं
ना रात कटती है ना दिन गुज़रता है
मुझे ले चल या उनको बुला
सुन सुन सुन मेरे …

( sun sun sun mere sāthiyā kab āeṇge re piyā -2
nā nīṅd ātī hai nā chain ātā hai mujhe ho ke unse judā ) -2
sun sun sun mere …

vāydā thā āne kā lagtā hai kisī ne rokā hai
tū hī batā re piyā śharāfat nahīṅ ye to dhokhā hai
baṛī yād ātī hai mujhko satātī hai
mujhe le chal yā unko bulā
sun sun sun mere …

k‌yā karūṇ rātoṅ ko khvāboṅ meṅ vo taṛpāte haiṅ
k‌yā kahūṇ din meṅ bhī tāre mujhe nazar āte haiṅ
nā rāt kaṭtī hai nā din guzartā hai
mujhe le chal yā unko bulā
sun sun sun mere …