Sun more rasiyaa sun man-basiyaa chhor ke ab

सुन मोरे रसिया सुन मन-बसिया छोड़ के अब्
Year
Language

ल: सुन मोरे रसिया सुन मन-बसिया
छोड़ के अब नहीं जाना
मु: प्यार निभाऊँगा दिल से न जाऊँगा
मैं तो तेरा ही दीवाना

ल: होंठों पे मेरे पिया तेरा ही नाम है
मैं हूँ तेरी दासी तू मेरा घनश्याम है
तेरे लिए छोड़ा मैने सारा ज़माना
सुन मोरे रसिया …
मु: प्यार निभाऊँगा …

आँधी से खेले चाहे मौसम बहार का
बुझने न दूँगा कभी दीपक प्यार का
चमकेगा चाँद बन के प्यार का फ़साना
प्यार निभाऊँगा …
ल: सुन मोरे रसिया …
मु: प्यार निभाऊँगा …

la: sun more rasiyā sun man-basiyā
chhoṛ ke ab nahīṅ jānā
mu: pyār nibhāūṇgā dil se na jāūṇgā
maiṅ to terā hī dīvānā

la: hoṅṭhoṅ pe mere piyā terā hī nām hai
maiṅ hūṇ terī dāsī tū merā ghanaśhyām hai
tere lie chhoṛā maine sārā zamānā
sun more rasiyā …
mu: pyār nibhāūṇgā …

āṇdhī se khele chāhe mausam bahār kā
bujhne na dūṇgā kabhī dīpak pyār kā
chamkegā chāṇd ban ke pyār kā fasānā
pyār nibhāūṇgā …
la: sun more rasiyā …
mu: pyār nibhāūṇgā …