सुन ले बापू ये पैग़ाम, मेरी चिट्ठी तेरे नाम्
सुन ले बापू ये पैग़ाम, मेरी चिट्ठी तेरे नाम
चिट्ठी में सबसे पहले, लिखता तुझको राम राम
लिखता तुझको राम राम
सुन ले बापू ये पैग़ाम
काला धन काला व्यापार, रिश्वत का है गरम बाज़ार
सत्य अहिंसा करें पुकार टूट गया चरखे का तार
तेरे अनशन सत्याग्रह के बदल गये असली बर्ताव
एक नई विद्या उपजी जिसको कहते हैं घेराव
तेरी कठिन तपस्या का ये कैसा निकला अंजाम
प्रांत प्रांत से टकराता है माया पर भाषा की लात
मैं पंजाबी तू बंगाली कौन करे भारत की बात
तेरी हिंदी के पाँव में अंग्रेजी न डाली डोर
तेरी लकड़ी ठगों ने ठग ली, तेरी बकरी ले गये चोर
साबरमती सिसकती तेरी तड़प रहा है सेवाग्राम
राम राज की तेरी कल्पना उड़ी हवा में बन के कपूर
बच्चों ने पढ़ना चोड़ा तोड़ फोड़ में हैं मग़रूर
नेता हो गये दल बदलू देश की पगड़ी रहे उछाल
तेरे पूत बिगड़ गये बापू दारू बंदी हुई हलाल
तेरे राजघाट पर फिर भी फूल चढ़ाते सुबह शाम्
sun le bāpū ye paiġhām, merī chiṭṭhī tere nām
chiṭṭhī meṅ sabse pahle, likhtā tujhko rām rām
likhtā tujhko rām rām
sun le bāpū ye paiġhām
kālā dhan kālā vyāpār, riśhvat kā hai garam bāzār
saty ahiṅsā kareṅ pukār ṭūṭ gayā charkhe kā tār
tere anaśhan satyāgrah ke badal gaye aslī bartāv
ek naī vidyā upjī jisko kahte haiṅ gherāv
terī kaṭhin tapasyā kā ye kaisā niklā aṅjām
prāṅt prāṅt se ṭakrātā hai māyā par bhāṣhā kī lāt
maiṅ paṅjābī tū baṅgālī kaun kare bhārat kī bāt
terī hiṅdī ke pāṇv meṅ aṅgrejī na ḍālī ḍor
terī lakaṛī ṭhagoṅ ne ṭhag lī, terī bakrī le gaye chor
sābaramtī sisaktī terī taṛap rahā hai sevāgrām
rām rāj kī terī kalpnā uṛī havā meṅ ban ke kapūr
bachchoṅ ne paṛhnā choṛā toṛ phoṛ meṅ haiṅ maġhrūr
netā ho gaye dal badlū deśh kī pagaṛī rahe uchhāl
tere pūt bigaṛ gaye bāpū dārū baṅdī huī halāl
tere rājghāṭ par phir bhī phūl chaṛhāte subah śhām