सुन चाँद मेरी ये दास्तान्
सुन चाँद मेरी ये दास्तान, मैं कहूँ तुझे या के न कहूँ
तेरी चाँदनी तेरे पास है, मुझे ये बता मैं कहाँ रहूँ
सुन चाँद मेरी ये …
खिली रैन में देखो चैन से, है ये सारा आलम सो रहा
तेरे इन सितारों की छाँव में, मैं अकेला चुप-चाप सो रहा
लगी आग बिरह की अँग में, मैं सहूँ इसे या के न सहूँ
सुन चाँद मेरी ये…
वोह नज़र जो दिल में उतर गई, जैसे चुभ गया कोई शूल हो
वोह हथेली पर तेरा मुख सजा, जैसे फूल पर कोई फूल हो
यूँ बहे नदी तेरी याद की, मैं बहूँ यहाँ या के न बहूँ
सुन चाँद मेरी ये …
sun chāṇd merī ye dāstān, maiṅ kahūṇ tujhe yā ke na kahūṇ
terī chāṇdnī tere pās hai, mujhe ye batā maiṅ kahāṇ rahūṇ
sun chāṇd merī ye …
khilī rain meṅ dekho chain se, hai ye sārā ālam so rahā
tere in sitāroṅ kī chhāṇv meṅ, maiṅ akelā chup-chāp so rahā
lagī āg birah kī aṇg meṅ, maiṅ sahūṇ ise yā ke na sahūṇ
sun chāṇd merī ye…
voh nazar jo dil meṅ utar gaī, jaise chubh gayā koī śhūl ho
voh hathelī par terā mukh sajā, jaise phūl par koī phūl ho
yūṇ bahe nadī terī yād kī, maiṅ bahūṇ yahāṇ yā ke na bahūṇ
sun chāṇd merī ye …