Sun bhaee baaraatee ... are doolhaa-dulhan ko akelaa

सुन भई बाराती ... अरे दूल्हा-दुल्हन को अकेला
Work
Year
Language

सुन भई बाराती -2
अरे दूल्हा-दुल्हन को अकेला ज़रा छोड़ो
प्यार भरी बातें करें जीवन-साथी
सुन भई बाराती …

हाँ बड़ी मुश्किल से दिल मिलते हैं
अरमानों के गुल खिलते हैं
जीवन में बस एक बार
साजन-सजनी को अकेला ज़रा छोड़ो
मिल के गले लहराएँ दीपक-बाती
सुन भई बाराती …

हाँ ऊपर से हम रंगीले हैं
अंदर से हम शर्मीले हैं
देखो न हमें इस तरह
? को अकेला ज़रा छोड़ो
रात मिलन की है एक बार आती
सुन भई बाराती …

sun bhaī bārātī -2
are dūlhā-dulhan ko akelā zarā chhoṛo
pyār bharī bāteṅ kareṅ jīvan-sāthī
sun bhaī bārātī …

hāṇ baṛī muśhkil se dil milte haiṅ
armānoṅ ke gul khilte haiṅ
jīvan meṅ bas ek bār
sājan-sajnī ko akelā zarā chhoṛo
mil ke gale lahrāeṇ dīpak-bātī
sun bhaī bārātī …

hāṇ ūpar se ham raṅgīle haiṅ
aṅdar se ham śharmīle haiṅ
dekho na hameṅ is tarah
? ko akelā zarā chhoṛo
rāt milan kī hai ek bār ātī
sun bhaī bārātī …