Subhaan allaah haseen chehraa ye mastaanaa adaaen

सुभान अल्लाह हसीं चेहरा ये मस्ताना अदाएँ
Year
Language

सुभान अल्लाह हाय हसीं चेहरा हाय
सुभान अल्लाह हसीं चेहरा ये मस्ताना अदाएँ
ख़ुदा महफ़ूज़ रखे हर बला से हर बला से

तुम्हें देखा हाय तो दिल बोला हाय
तुम्हें देखा तो दिल बोला तुमको दूँ दुआएँ
ख़ुदा महफ़ूज़ रखे …

करे पूजा ज़माना जिसकी वो तस्वीर हो तुम
मिला करती है जन्नत जिससे वो तक़दीर हो तुम
क़मर पतली हाय नज़र बिजली हाय ज़ुल्फ़ें हैं या घटाएँ
ख़ुदा महफ़ूज़ रखे …

न जाने किसकी क़िस्मत में है मुखड़ा चाँद सा ये
न जाने किसके घर चमकेगा टुकड़ा चाँद का ये
इजाज़त हो तो फिर हम भी मुक़द्दर आज़माएँ
ख़ुदा महफ़ूज़ रखे …

बड़ी हसरत से तुमको देखता है ये ज़माना
सुनाना चाहता है हर कोई अपना फ़साना
कोई दिल हो कोई महफ़िल जहाँ भी आप जाएँ
ख़ुदा महफ़ूज़ रखे …

subhān allāh hāy hasīṅ chehrā hāy
subhān allāh hasīṅ chehrā ye mastānā adāeṇ
khudā mahafūz rakhe har balā se har balā se

tumheṅ dekhā hāy to dil bolā hāy
tumheṅ dekhā to dil bolā tumko dūṇ duāeṇ
khudā mahafūz rakhe …

kare pūjā zamānā jiskī vo tasvīr ho tum
milā kartī hai jannat jisse vo taqdīr ho tum
qamar patlī hāy nazar bijlī hāy zulfeṅ haiṅ yā ghaṭāeṇ
khudā mahafūz rakhe …

na jāne kiskī qismat meṅ hai mukhaṛā chāṇd sā ye
na jāne kiske ghar chamkegā ṭukaṛā chāṇd kā ye
ijāzat ho to phir ham bhī muqaddar āzmāeṇ
khudā mahafūz rakhe …

baṛī hasrat se tumko dekhtā hai ye zamānā
sunānā chāhtā hai har koī apnā fasānā
koī dil ho koī mahafil jahāṇ bhī āp jāeṇ
khudā mahafūz rakhe …