āj kī rāt bahut garm havā chaltī hai
āj kī rāt na phuṭpāth pe nīṅd āyegī
sab uṭho, maiṅ bhī uṭhūṇ, tum bhī uṭho, tum bhī uṭho
koī khiṛkī isī dīvār meṅ khul jāyegī
ye zamīṅ tab bhī nigal lene pe āmādā thī
pāṇv jab ṭūṭtī śhākhoṅ se utāre hamne
in maśhīnoṅ ko khabar hai na makānoṅ ko khabar
un dinoṅ kī jo gufāoṅ meṅ guzāre hamne
sirf khākā thā jo sach pūchho to khākā bhī na thā
jiske ye kasad ye aivān utāre hamne
hāth ḍhalte gaye sāṇchoṅ meṅ to thakte kaise
nakhśh ke bād naye nakhśh nikhāre hamne
kī ye dīvār baland aur baland aur baland
bām-o-dar aur zarā aur sṇvāre hamne
( āṇdhiyāṇ toṛ liyā kartī thīṅ śhamaoṅ kī laveṅ
jaṛ diye isliye bijlī ke sitāre hamne ) -2
ban gayā kasar to pahre pe koī baiṭh gayā -2
so rahe khāk pe ham chorī kī tāmīr liye
apnī nas nas meṅ liye mehnat-e-paiham kī chhan
band āṇkhoṅ meṅ isī kasar kī tasvīr liye
are din pighaltā hai usī tarah saroṅ par ab tak
rāt āṇkhoṅ meṅ khaṭaktī hai siyāh tīr liye
āj kī rāt bahut garm havā chaltī hai
āj kī rāt na phuṭpāth pe nīṅd āyegī
sab uṭho, maiṅ bhī uṭhūṇ, tum bhī uṭho, tum bhī uṭho
koī khiṛkī isī dīvār meṅ khul jāyegī