Solahven saavan se ... haay raam bachaae mujhe raam bachaae

सोलहवें सावन से ... हाय राम बचाए मुझे राम बचाए
Work
Year
Language

सोलहवें सावन से भँवरों के दामन से
चढ़ती जवानी से बारिश के पानी से
मन बड़ा घबराए
हाय राम बचाए मुझे राम बचाए
हाय राम
अरे राम
हाय राम बचाए …

पहले ही दिन हाय निकली जो घर से
बच ना सकी आशिक़ों की नज़र से
कहने लगे आज आई है देखो
परी आसमां की ज़मीं पे उतर के
इन गोरे गालों पे हाय हाय
इन काले बालों पे ऊँ हाय
अरे इन गोरे गालों पे इन काले बालों पे
आँखों के काजल पे नागिन सी चालों पे
हर कोई लुट लुट जाए हाय हाय
राम बचाए …

बदली ख्यालों की छटती नहीं है
तन्हा शामें ये कटती नहीं हैं
प्यास होंठों पे ऐसी रुकी है जो
भीगी घटाओ से बुझती नहीं है
दे दे दुआ कोई हाय हाय
या दे दवा कोई हाय
दे दे दुआ कोई या दे दवा कोई
पूरब से आई है ऐसी हवा कोई
दिल उड़ा ही जाए हाय हाय
हाय राम बचाए …
र र र र राम बचाए …

solahveṅ sāvan se bhṇvroṅ ke dāman se
chaṛhtī javānī se bāriśh ke pānī se
man baṛā ghabrāe
hāy rām bachāe mujhe rām bachāe
hāy rām
are rām
hāy rām bachāe …

pahle hī din hāy niklī jo ghar se
bach nā sakī āśhiqoṅ kī nazar se
kahne lage āj āī hai dekho
parī āsmāṅ kī zamīṅ pe utar ke
in gore gāloṅ pe hāy hāy
in kāle bāloṅ pe ūṇ hāy
are in gore gāloṅ pe in kāle bāloṅ pe
āṇkhoṅ ke kājal pe nāgin sī chāloṅ pe
har koī luṭ luṭ jāe hāy hāy
rām bachāe …

badlī khyāloṅ kī chhaṭtī nahīṅ hai
tanhā śhāmeṅ ye kaṭtī nahīṅ haiṅ
pyās hoṅṭhoṅ pe aisī rukī hai jo
bhīgī ghaṭāo se bujhtī nahīṅ hai
de de duā koī hāy hāy
yā de davā koī hāy
de de duā koī yā de davā koī
pūrab se āī hai aisī havā koī
dil uṛā hī jāe hāy hāy
hāy rām bachāe …
ra ra ra ra rām bachāe …