Sitaare doob chale ... mohabbat kee bas itnee daastaan

सितारे डूब चले ... मोहब्बत की बस इतनी दास्तां
Work
Year
Language

ल: सितारे डूब चले रात ढलने वाली है
चले भी आओ कि दुनिया बदलने वाली है
र: तुम्हें क़सम है न करना मेरी जुदाई का ग़म
हवाएं लाख चलें शमा जलने वाली है

ल: मोहब्बत की बस इतनी दास्तां है -2
बहारें बहारें चार दिन की फिर ख़िज़ां है
मोहब्बत की बस …
र: मोहब्बत की बस …

ल: उजाले को तरसती हैं निग़ाहें
बड़ी वीरान हैं उल्फ़त की राहें
कहाँ है कहाँ है चाँद मेरे तू कहाँ है
मोहब्बत की बस …

र: मज़ाअ मिलने का आता है बिछड़ के
मुहब्बत रंग लाती है उजड़ के
जुदाई जुदाई दो दिलों का इम्तहाँ है
ल: मोहब्बत की बस …

la: sitāre ḍūb chale rāt ḍhalne vālī hai
chale bhī āo ki duniyā badalne vālī hai
ra: tumheṅ qasam hai na karnā merī judāī kā ġham
havāeṅ lākh chaleṅ śhamā jalne vālī hai

la: mohabbat kī bas itnī dāstāṅ hai -2
bahāreṅ bahāreṅ chār din kī phir khizāṅ hai
mohabbat kī bas …
ra: mohabbat kī bas …

la: ujāle ko tarastī haiṅ niġhāheṅ
baṛī vīrān haiṅ ulfat kī rāheṅ
kahāṇ hai kahāṇ hai chāṇd mere tū kahāṇ hai
mohabbat kī bas …

ra: mazāa milne kā ātā hai bichhaṛ ke
muhabbat raṅg lātī hai ujaṛ ke
judāī judāī do diloṅ kā imthāṇ hai
la: mohabbat kī bas …