amitābh: maiṅ aur merī tanhāī, aksar ye bāteṅ karte haiṅ
tum hotī to kaisā hotā, tum ye kahtī, tum vo kahtī
tum is bāt pe hairāṅ hotī, tum us bāt pe kitnī hṇstī
tum hotī to aisā hotā, tum hotī to vaisā hotā
maiṅ aur merī tanhāī, aksar ye bāteṅ karte haiṅ
rū rū …
latā: ye kahāṇ ā gaye ham, yūṇhī sāth sāth chalte
terī bāhoṅ meṅ hai jānam, mere jism-o-jān pighalte - 2
amitābh: ye rāt hai, yā tumhārī zulfeṅ khulī huī haiṅ
hai chāṇdnī tumhārī nazroṅ se, merī rāte dhulī huī haiṅ
ye chāṇd hai, yā tumhārā kṇgan
sitāre haiṅ yā tumhārā āṇchal
havā kā jhoṅkā hai, yā tumhāre badan kī khuśhbū
ye pattiyoṅ kī hai sarasrāhaṭ
ke tumne chupke se kuchh kahā
ye sochtā hūṇ maiṅ kabse gumsum
ki jabkī mujhko bhī ye khabar hai
ki tum nahīṅ ho, kahīṅ nahīṅ ho
magar ye dil hai ki kah rahā hai
tum yahīṅ ho, yahīṅ kahīṅ ho
latā: tū badan hai maiṅ hūṇ sāyā, tū nā ho to maiṅ kahāṇ hūṇ
mujhe pyār karne vāle, tū jahāṇ hai maiṅ vahāṇ hūṇ
hameṅ milnā hī thā hamdam, isī rāh pe nikalte
ye kahāṇ ā gaye ham
merī sāṇs sāṇs mahke, koī bhīnā bhīnā chandan
terā pyār chāṇdnī hai, merā dil hai jaise āṇgan
koi aur bhī mulāyam, (merī śhām ḍhalte ḍhalte - 2)
ye kahāṇ ā gaye ham
amitābh: majbūr ye hālāt, idhar bhī hai udhar bhī
tanhāī ke ye rāt, idhar bhī hai udhar bhī
kahne ko bahut kuchh hai, magar kisse kaheṅ ham
kab tak yūṇhī khāmośh raheṅ, aur saheṅ ham
dil kahtā hai duniyā kī har ik rasm uṭhā deṅ
dīvār jo ham dono meṅ hai, āj girā deṅ
kyoṅ dil meṅ sulagte raheṅ, logoṅ ko batā deṅ
hāṅ hamko muhabbat hai, mohabbat hai, mohabbat hai
ab dil meṅ yahī bāt, idhar bhī hai, udhar bhī
latā: ye kahāṇ ā gaye ham, ye kahāṇ ā gaye ham