koras: sar se sarke, sarke chunriyā,
lāj bharī akhiyoṅ meṅ - 2
ho maiyā, gāe sājan, o bahnā, hoke magan
nācheṅ, sakhiyoṅ meṅ
strī: nainoṅ meṅ niṅdiyā, niṅdiyā meṅ sapne
sapnoṅ meṅ sājan, jabse basā
bahāreṅ āyī jīvan meṅ, nayīṅ halchal hai tan man meṅ
ik rūp basā hai, aṇkhiyoṅ meṅ
koras: sar se sarke…
puruṣh: kuchh lamheṅ, jīvan ke churāleṅ
sāṅsoṅ kī ye āg bujhā deṅ
duniyā se dūr, nayīṅ duniyāṅ, basā deṅ
strī: jab se milī hai, tujhse nazar
jādū ye kaisā, mujhpe huā
ke dil jab tanhā lagtā hai
mujhe kuchh aisā lagtā hai
tū jhanak rahā hai, aṇkhiyoṅ meṅ
koras: sar se sarke…
puruṣh: āj kā har ik pal suṅdar hai
kal kyā ho, kisko ye khabar hai
laṅbā safar, zindgī muqtasar hai
strī: ḍar lag rahā hai, kyā jāne kyā ho
dil tujh ko maine, jab se diyā
uṛī haiṅ nīṅdeṅ aṇkhiyoṅ se
terī aisī hī bātoṅ se
badnām huī hūṇ sakhiyoṅ meṅ
koras: sar se sarke…
puruṣh: tāroṅ se ye māṅg sajā dūṇ
hoṭhoṅ pe ik phūl khilā dūṇ
tere liye sārī duniyā bhulā dūṇ
strī: mahkegā sārā, gulaśhan hamārā
dil kā sahārā, bāheṅ terī
khuśhī se harī bharī hogī
ye duniyā terī merī hogī
ik phūl khilegā, bagiyoṅ meṅ