maiṅ aur merī tanhāī, aksar ye bāte karte haiṅ
tum hotī to kaisā hotā
tum ye kahtī, tum vo kahtī
tum is bāt pe hairān hotī
tum us bāt pe kitnā hṇstī
tum hotī to aisā hotā, tum hotī to vaisā hotā
maiṅ aur merī tanhāī, aksar ye bāte karte haiṅ
ye kahāṇ ā gae ham, yūṇ hī sāth sāth chalte
terī bāhoṅ meṅ hai jānam, mere jism-o-jān pighalte
ye rāt hai yā, tumhārī julphe khulī huī hai
hai chāṅdnī yā tumhārī nazroṅ se merī rāte dhulī huī hai
ye chāṇd hai, yā tumhārā kaṅgan
sitāreṅ hai, yā tumhārā āṇchal
havā kā jhoṅkā hai, yā tumhāre badan kī khuśhbū
ye pattiyoṅ kī hai sarasrāhaṭ, ke tum ne chupke se kuchh kahā hai
ye sochtā hūṇ, maiṅ kab se gumsum
ke jab ke, mujhko ko bhī ye khabar hai, ke tum nahīṅ ho, kahī nahīṅ ho
magar ye dil hai ke kah rahā hai, tum yahī ho, yahī kahī ho
tū badan hai, maiṅ hūṇ chhāyā, tū nā ho to maiṅ kahāṇ hūṇ
mujhe pyār karnevāle, tū jahāṇ hai maiṅ vahāṇ hūṇ
hame milnā hī thā hamdam, kisī rāh bhī nikalte
merī sāṅs sāṅs mahke, koī bhīnā bhīnā chandan
terā pyār chāṅdnī hai, merā dil haiṅ jaise āṇgan
huī aur bhī mulāyam, merī śhām ḍhalte ḍhalte
majbūr ye hālāt, idhar bhī hai, udhar bhī
tanhāī kī ek rāt, idhar bhī hai, udhar bhī
kahne ko bahot kuchh haiṅ magar kis se kahe ham
kab tak yūṇ hī khāmośh rahe ham aur sahe ham
dil kahtā hai duniyā kī har ek rasm uṭhā de
dīvār jo ham donoṅ meṅ hai, āj girā de
kyoṅ dil meṅ sulagte rahe, logoṅ ko batā de
hāṅ ham ko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
ab dil meṅ yahī bāt, idhar bhī hai, udhar bhī