Sikandar bhee aaye ... na koee rahaa hai ... ye desh aazaad ho ke rahegaa

सिकंदर भी आये ... न कोई रहा है ... ये देश आज़ाद हो के रहेगा
Year
Language

सिकंदर भी आये कलंदर भी आये
न कोई रहा है न कोई रहेगा
है तेरे जाने की बारी विदेशी
ये देश आज़ाद हो के रहेगा
मेरा देश आज़ाद हो के रहेगा
न कोइ रह है …

सिकंदर को पोरस की ताक़त ने रोका
गोरी को पृथ्वी की हिम्मत ने टोका
जब खूनी नादर ने छेड़ी लड़ाई
तो दिल्ली की गलियों से आवाज़ आई
लगा ले तू कितना भी ज़ोर ऐ सितमगर
ये देश आज़ाद …

परताप ने जान दे दी वतन पे
शिवाजी ने भगवा उड़ाया गगन पे
मरदों ने खाईं आज़ादी की कसमें
अदा औरतों ने की जौहर की रस्में
कफ़न बांध कर रानी झांसी पुकारी
ये देश आज़ाद …

सिराज और टीपू ज़फ़र और नाना
था हर एक इनमें क़ौमी दीवाना
यहां ले के आये बग़ावत की आँधी
तिलक नेहरू आज़ाद नेताजी गाँधी
भगत सिंह की राख ने पुकारा
ये देश आज़ाद …

हलाकू रहा है न हिटलर रहा है
मुसोलिनी का ना वो लश्कर रहा है
नहीं जब रहा रूस का जार बाकी
तो कैसे रहेगा सालाज़ार बाकी
गोवा का हर बच्चा बच्चा पुकारा
ये देश आज़ाद …

कल को अगर आये चाओ या माओ
लगा देंगे हम ज़िंदगी का दांव
हमारा है कश्मीर नेफ़ा हमारा
कभी झुकेगा न झण्डा हमारा
ज़रा देश के दुश्मनों से ये कह दो
ये देश आज़ाद …

sikaṅdar bhī āye kalaṅdar bhī āye
na koī rahā hai na koī rahegā
hai tere jāne kī bārī videśhī
ye deśh āzād ho ke rahegā
merā deśh āzād ho ke rahegā
na koi rah hai …

sikaṅdar ko poras kī tāqat ne rokā
gorī ko pṛthvī kī himmat ne ṭokā
jab khūnī nādar ne chheṛī laṛāī
to dillī kī galiyoṅ se āvāz āī
lagā le tū kitnā bhī zor ai sitamgar
ye deśh āzād …

partāp ne jān de dī vatan pe
śhivājī ne bhagvā uṛāyā gagan pe
mardoṅ ne khāīṅ āzādī kī kasmeṅ
adā aurtoṅ ne kī jauhar kī rasmeṅ
kafan bāṅdh kar rānī jhāṅsī pukārī
ye deśh āzād …

sirāj aur ṭīpū zafar aur nānā
thā har ek inmeṅ qaumī dīvānā
yahāṅ le ke āye baġhāvat kī āṇdhī
tilak nehrū āzād netājī gāṇdhī
bhagat siṅh kī rākh ne pukārā
ye deśh āzād …

halākū rahā hai na hiṭalar rahā hai
musolinī kā nā vo laśhkar rahā hai
nahīṅ jab rahā rūs kā jār bākī
to kaise rahegā sālāzār bākī
govā kā har bachchā bachchā pukārā
ye deśh āzād …

kal ko agar āye chāo yā māo
lagā deṅge ham ziṅdgī kā dāṅv
hamārā hai kaśhmīr nefā hamārā
kabhī jhukegā na jhaṇḍā hamārā
zarā deśh ke duśhmnoṅ se ye kah do
ye deśh āzād …